Bharatiya masale ethihasik samay se hi mashhur hai . Unka swad aur lubhavni khushbu shayad hi koi bhul skata hai. Lekin kya aap jante hai in garam masalo se sird khane ke hi nahi aaushdhik guno se bhi bharpur hai. Ji haan tejpatte ke ese kai guno ke bare me vistar se jante hai.
Chehre par dag ho ya muhase ho bas tej patte ka lape ya fir use ubalkar uske pani se chehra dhoye to apka chehra ekdum saad ho jayega. Kapdo ke bich agar tejpaata rakh dia jaye to uuni or mehnge reshami, suti kapdo me kide nahi lagenge. Yahi nahi ye anaj ko bhi kido se bachata hai.
Agar sir me juye hai to ek galss pani me Tejpatta dalkar tab tak ubale jab tak pani aadha na reh jaye. Ab is pani se sir ki malish kar le. Sab juye khatam ho jayegi.
Vaigyaniko ki agar mane to tej patta anti inflammatory hota hai jisse agar mirgi wale ko iska dhua diya jaye ro woh thik ho jayega.
Tejpatta me ek yogik parthanolide hai jo migrane ke ilaj me bahut upyogi hai. Tej patta sharir me insulin banne ki prakriya ko santulit karta hai jo diabetes ke marijo ke lie labhdayak hai. Pet ke alsar ke prabhavo ko kam karne me bhi tej patta bhaut labhdayak hai. Isme anti oxidant gun hota hai jisse bhuk na. Lagana jise khane me aruchi kehte hai wo agar tej patte ka sevam kare to uske lie bahut faydemand hai.
Purane jamane mw ise garbhpat karne ke lie ek mehtvpurn aaushdhi mana jata tha. Agar tejpaato ka kadha bana kar pia jaye to pet fulna,ubkai aadi me labh mil jayega.
Leave a Reply