Grahini hi hai jo ghar me sabke swasthya ka bahut khayal rakhti hai.Sabki har jarurat bin mange hi puri ho jati hai. Par grehani ke swasthya ka kya? Agar woh hi swasth nahi rahegi to baki ke parivar ka kya hoga?
Kehte hai lagbagh din ka aadha waqt ek grahini ka rasoi me hi jata hai.aise mein yeh jaruri hai ki rasoi me saare upkaran aise ho jo uski madad me sahayak ho.khana banate samay dhua uthna ek aam samaya hai.
jab bhi tadka lagaya jata hai to dhua uthna or usi ke sath kai tail ke chote chote kan bhi uthne lagte hai jo jakar chat par chipak jate hai fir jab hawa chalti hai to yeh dhumil kan khane me gir sakte hai aur to aur itne dhuye me rehne se grahinio ke swasthya par bhi asar padta hai.wah dhua jab sharir ke andar jata hai to sharir ko nuksan pahuchata hai.
yeh dhuye me carbon di oxide ki.Matra jyada hoti hai isliye bahut jaruri hai is dhuye ka nishkashnn sahi tarike se kiya jaye.Iske liye kai log exhaust fan ka bhi prayog karte hai par yeh utni suvidha nahi deta jitni electric chimeny deti hai.Yeh apke cooktop par bhi lagayi ja sakti hai jise bar bar saaf karne ka jhanjhat bhi nahi hoti hai.
Chimney ke istemal se ye dhua ghar ke bahar aasani se nikal jata hai. Jin logo ke kitchen ke ekdum samne khidkiya nahi hoti unke liye chimney to ati avashyak hoti hai. Har kitchen me iska laga hona jaruri hai taki humari grehniyon ko koi swasthya sambandhit pareshani na ho.
Leave a Reply