Periods ke un kathin dino me dard ko sehna aasan nai hota. Is dard ke karan hum humari rojmarra ki jindagi ka ko prabhavit nahi kar sakte. Chidchidahat or dard ke karan yeh din daravane sapno me badal jaate hai. Dardnivarak goliya bhi ek vikalp hai par iske side effects ke karan inhe lena sahi nahi, to kya kiya jaye aise mein, ab unn dino me taqleef kam ho,iske liye najar dalte hai aise kai nusko or sujhaavo par:
Ratalu ka agar periods me sevan kiya jaaye to ye dard ko sahan karne ki shakti deta hai. Gaajar ke juice ko periods ke dino me liya jaye to ye bahut maddadgar sabit hota hai.
Aniyamit periods ho to kacche papite ka sevan karna chahiye.kaccha papita khane se aapke periods sahi samay par aayenge yahi nai paka hua papita agar periods ke dauran khaya jaaye to dard se rahat milegi.
Aelovera ke juice me agar shehad milakar uska sevan kiya jaye to periods me hone wale dard se chutkara mil jayega. Kehte hai periods me caffeine yukt chijo ka sevan nahi karna chahiye. Agar pet dard se turan rahat pana chahti hai to lavender ke tel ka prayog kare. Pet ke pas lavender oil laga lijiye 10 se 15 minute me hi aaram mil jayega.
Acue pressure ke jariye bhi dard ko kam kiya ja sakta hai. Isme sharir ke kuch points par pressure daalna hota hai.
Dalchini me ek glass garam pani or shahad milakar periods shuru hone ke 2 -3 din pehle se pina suru kar de.
Saunf pet mein uthne wali ethan or dard ko kam kar deti hai. Ek cup ubalte huye pani mein ek chammach saunf dale orr 5 minutes dhime aanch par ubalne de. ab ise thanda hone ke bad shehad milaye iska din mein 2 bar sevan karein.
Dard se nijat pane ke liye sekai bhi ek behtareen upaye hai. Garam pani ko thaili me bharkar pet ke nichlae hisse me sikai kare.
Leave a Reply