Bharat me lagbhag har tyohar me haathon va pairon me mehendi lagane ka prachalan raha hai. Shaadi ho ya Raksha bandhan, mehendi ka gehra rang haathon ki sundarta ke saath saath tyohar ke maahual ko bhi mahka deta hai.
Yah zyadatar dakshin asia ke rajyo me paayi jati hai. Mehendi ke paundhe kareeb 3-4 foot lambe hote hai, jiski pattiyon ko sukha kar uska powder bana liya jata hai.
Fir uss powder ka paste bana ke haathon par alag alag design me lagaya jata hai, aur ise lagane par mehendi ka rang rach jata hai. Mehendi ka rang jitna gehra ho, vah utni hi khoobsurat lagti hai. Iska rang gehra karne ke kayi tarike hai. Unhi me se ek hai mehndi ka tel.
Mehendi ka tel prakritik tareekon se pedon se prapt kiya jata hai. Yah tel mehendi ke rang ko nikharne ke liye istemaal kiya jata hai. Yah tel chaay ke paid, va eyukaliptus ke paid se bhi paya ja sakta hai. Yah tel baazar me bhi uplabdh kiya ja sakta hai.
Mehendi ke tel me kayi aari gudvaktaayein paayi jati hai. Yah sirf mehendi ka rang nikharne ke liye hi nahi, balki ayurvedic aushadhi ki tarah bhi istemaal kiya jata hai.iske kayi saare upyog hai. Iske rang ke karan ise baalon ki dye ki tarah bhi istemaal kiya jata hai.
Mehendi ke tel ke kayi fayde hai :-
1.Mehendi ki khushboo ke karan ise room freshner ki tarah istemaal kiya jata hai.
2.Agar aap thakawat mehsoos kar rahe hai, to nahate waqt ise paani me daal ke nahane se aapki thakawat kam ho jaayegi.
3.Prakritik tel skin se judi pareshaniyon ke liye bhi laabhdayak hota hai. Mehendi ke tel ko bhi cream ke saath istemaal kiya jaa sakta hai.
4.Mehendi ki khushboo hamare mann ko taaza karne me bhi madad karti hai.
5.Mehendi ke tel ko baalon me lagane se baalon ki khoobsurti bhi badhti hai.
6.Dry skin ke liye bhi mehendi ke tel ka istemaal kiya jaata hai.
Mehendi ke tel ko kayi tareekon se istemaal kiya ja sakta hai :-
1. Mehendi ke tel ko mehendi ke upar cotton ki sahayata se lagaya ja sakta hai.
2. Ise nahate vaqt paani me daal kar istemaal kar sakte hai.
3.Saath hi skin ke liye ise body lotion me mila kar lagaya ja sakta hai.
4.Mehendi ke tel kisi anya tel ke saath mila kar ise sharir ki maalish ke liye bhi istemaal kiya ja sakt ahai. Isse skin naram ho jaayegi.
5.Baalon me lagane ke liye mehendi ke tel ko kisi aur tel me milakar baalon me lagaya ja sakta hai.
Mehendi ke tel ko istemaal karne se pehle uski quality par dhyaan zarur de, aur sahi jaanch ke baad hi use khareede.
Leave a Reply