Kavi malik mahummad jayasi ki Kavita me rani padmini ki jhalkiya sahaj hi dekhne ko milegi. Gandharvsen aur champavati ki putri padmavati bachpan se hi bahut sundar thi. Bachpan me unka samay hiramani naam ke ek bolane wale tote ke sath bitta .
Jaise jaise padmini badi hoti gai waise waise hi usi khubsurti bhi badti gai. Fir unke pita ne ek din unka svayamvar rachaya jise raja ratan singh ne unhe jit liya or padmini ko chittod ki rani bana liya.
Rani padmini chitrod aa gai or apne mahal me sukh se rehne lagi. Raja rattan singh ke darbar me anek fankar the jisme se ek the Raghav Chetan. Jo sangitkar hone ke sath sath jadugar bhi the or wo apni is buri Prathiba ka galat upyog karte the.
Raja RavaSingh is baat se anjan the par jaise hi is bat ka pata chala to fauran unhone Raghav Chetan ko apne darbar se nishkashit kar uska muh kala karwakar gadhe par bitha kar use rajya mein ghumaya.
Is ghtna ke bad Raghav Chetan Raja Rawal Singh ka dushman ban gaya or dilli Jakar Hasan waha Sultan Aalahuddin Khilji ko chittod par aakarman karne ke liye uksana shuru kar diya or Rani Padmini ki sudarta ke gungan karne laga jisse Khilji ke man me bhi vasna ki bhavna jag uthi.
Usne chittod me pravesh kiya or dhoke se rani ko dekhna chaha.Apne is shadyantra mein kamyaab ho gaya or phir chall ke sath raja ko bandi bana liya. Lekin veer saniko ke saahas se raja mukt ho gaye.
Lekin fir ek bar khilji ne chittod par akarman kiya or ladte ladte Raja Ratan Singh veergati ko prapt huye. Yeh khabar jaise hi Rani Padmini ko lagi to unhone vishal agni me kud kar apni jaan de di. Unka jauhar unki asmiyata ko bachane ke lie tha. Kai ithihaskar kehte hai ki ye mangadat kahani hai or rajputana shaury ko uttejit karne ke liye likhi gai hai. Ab satya kya hai ye to ithihas ke panno me kahi kaid hai…
Leave a Reply