Gown Jis Par Prayog Kiya Gaya
Sigalit Landau
Israel ki kalakar Sigalit Landau mrit sagar ki prashanshak hain tab se jab se wo Jerusalem mein ek bachchi thi. Woh samudra uttari kinare ko dekha karti thi, us pahadi se jahan wo rehti thi. Kaha jaata hai ki unki kala mein prtikatmakta aur aadhyatmikta dono ka anubhav hota hai. Unhe haal hi mein ek project mila joki ek tasveer shrinkhala thi. Iss project ka naam tha “Salt Bride” ( Namak Dulhan ). Unhe apne bachpan k pyar mrit sagar mein kaam karne ka mauka mila tha aur unhone iska poora fayda uthaya. Unhone apni saari rachnatmakta ismein laga di. Iss tasveer shrinkhala ko 8 bhagon mein baata gya. Landau ne samay samay par paani k neeche jaakar us kaale Gown ki photo leti rahi jo unki is shrinkhala ka mukhya hissa tha. Usne yeh 3 mahine ki awadhi k dauraan kiya. Kya aapne socha hai uss Gown ka kya hoga jo lambe samay se khare paani mein dooba ho? Kapde ka gadha kaala tantu behad khare paani ki wajah se barfeele safed kapde mein badal gya. Aayiye iss photo shrinkhala ka jo rahasya aur jaadu ka bodh karati hai uss par daalte hain ek nazar
Shuruat Mein Jab Dress Paani Mein Daali Gyi
Kuch Samay Baad
Parivartan Ki Shuruaati Jhalak
Aakaar Aur Rang Dhalta Hua
Intzaar Khatam
Aur 2 mahine k lambe intzaar k baad jab dress bahar aayi to bharosa karna mushkil tha ki kya ye wahi kaali dress hai jise 2 mahine pehle mrit sagar k khaare paani mein daal diya gya tha. Sach mein bharosa karna behadd mushkil hai par sach yahi hai aur Salt Bride taiyaar hai apne jadui andaz mein. Kisi pari ki dress si lagti hui ye barfeeli dress behadd khoobsurat aur kala ka behtreen namuna hai. Landau ki ye kala vakai kabiletareef hai. Ye kala unke mahaan kalakaar hone ka udaharan pesh karti hai.
Mrit Sagar Se Nikali Gyi Dress
Leave a Reply