Sharir ki banavat har kisi ki vibhinn hoti hai isliye unki banavat ke anusar hi apne paridhan ka chunav karna chahiye. Sahi vastra ka chunav karna atyant hi mahtavpurn hai kyuki ye apke vyaktitva ki asli pehchan karwata hai.Agar humara paridhana hi sahi nai hoga to hum apne andar ke vyakatitva ko kaise nikhar sakte hain aur to aur hamare vastron ka sidha asar hume dekhne wale par padta hai.Hum bhi kisi ke vastron ko dekh kar uski chavi ke bare me dhaarna banane lagte hai isliye sahi vastro ka chunav karna behad jaruri hai.
Is article me apko apne sharir ke shape ke anusar kya pehnana chahiye vo darshaya gaya hai.
Apple shape jo na zyada duble hai na zyada mote hai yani jinka wajan ausat hota hai wo apple shape ke hote hai. Ese logo ko sharir se chipake hue or pet se kase huye vastron se parhej karna chahiye. Yeh dhile dhale kapdo me hi ache dikhenge. Bina aastin wale kapde bhi yeh pehan sakte hai.
Sadha hua body shape. Jinke sharir ka aage or piche ka bhag jyada ubhra hua na ho wo is body shape me aate hai. Inko dhariyo wale ya body ko kasav dene wale vastra chunne chahiye
Upar se chaudi or kamar se patli. Is tarah ki kad kathi wali mahilao ko apne kamar ke pas se tane huye vastro ko dharan karna chahiye jisse unki kamar bhari bhari dikhai de .
Upar se patli or niche se chaudi. Aisi mahilayen upar se patli hoti hai. Inhe bina aastin wale paridhan pehnna chahiye jisse aakarshan unke upar ke sharir par ho. Apni kamar ki chaudai ko kam dikhane ke liye niche gherdaar kapde pehan sakti hai.
Jyada lambi mahilaaon ko aadi dhariyoon wali Saree pehnna chahiye jisse unki lambai kam dikhe.Wahi kam height wali mahilaaon ko khadi dhariyo wale vastra pehhna chahiye taki unki lambaee zyada dikhe. zyada duble patle logo ko sharir fulane wale vastra pehnna chahiye .
Leave a Reply