Alsi bahut puraane zamane se rasoi ka ek aham hissa rahi hai. Kya hai is alsi ke faayde aur nuksaan. Tafseel se bata rahi hain ‘Chaaru Dev’.
Alsi
Aadikaal se alsi maanav aahar ka mahatvapoorna hissa rahi hai. Itihaas par nazar daalein to alsi ke beejo ka istemaal Misr ke log iske reshe se Mummy ko cover karne waala kapda aur painting ke liye canvas banane ke liye karte the. Uske baad alsi Rome pahunchi jahan jahaj ke mastool banane ke liye iska istemaal hone laga. Bahut zyada fibre se yukt hone ke kaaran iska dawaiyyon me bhi prayog kiya jaane laga.
Alsi Ke Aushdheey Gun:
Alsi ke beej jinhe ‘Flax Seeds’ ya ‘Linseed’ ke naam se bhi jaana jaata hai. Duniya bhar me apne chikitsakeey guno ke kaaran prasiddha hai. Aaj alsi ke poshak tatwo ko poore vishwa ne sweekar kar liya hai. Isme vibhinna vitamins jaise Folate aur Vitamin B6, Thymin ke alawa minerals jaise Phosphorous, Calcium, Potassium, Copper, Manganese aadi paaye jaate hain. In beejo me cholesterol aur sodium aadi tatwa hote hain jo hume dil ki beemaariyon se surakshit rakhte hain. Isme Omega-3 fatty acids acchi maatra me hota hai. Isliye wo log jo Fish-oil ya macchhli nahi khaana chahte to unke liye alsi ek uttam nutrient hai. In tatwo ke alawa in alsi ke beejon mein aur bhi bahut se gun hain jaise:
In beejo me Lignus paaye jaate hain jo mool astrogen ke samaan hote hain aur apni anti-oxidant guno ke kaaran jaane jaate hain.
Isme alpha-linolenic acid bhi hote hain jo khud anti-inflammatory hote hain isliye in beejo ka upyog jodo ke dard aur gathiya ke dard mein bahut laabhdayak hota hai.
Alsi me fibre kaafi maatra mein hota hai isliye iska upyog pet sambandhi samasyaaon aur wazan kam karne me bhi sahaayak hota hai.
Phytosterols ke guno ke kaaran yaha shareer mein cholesterol ko kam karne ki kshamta rakhti hain.
Alsi me protein prachur maatra me hota hai jo maanspeshiyon ke banane mein, sugar ko neeyantrit karne mein aur fungal infection ko bhi door karne mein accha rehta hai.
Alsi Ke Faayde:
Alsi ke paushtik gun anek beemaariyon ko theek karne mein sahaayak hote hain. Aaiyye dekhein kaise alsi shareer ko nirogi rakhne ka kaam karti hai:
Wazan kam kare:
Alsi me protein aur fibre ki maatra bahut zyaada hoti hai jo wazan neeyantran me sabse zyaada faayda deti hai. Protein ek ore muscles ko taakat deta hai wahin fibre bhookh ko neeyantrit rakhta hai. Isse wazan kam karne me sahaayta milti hai.
Madhumeh par neeyantran:
Alsi ke beejon me lignus hote hain aur iske gun ke kaaran alsi ka neeyamit sevan shareer me glucose aur insulin ki maatra ko neeyantrit rakhta hai.
Cancer Se Bachaaw:
Alsi ke beejon me Omega-3, fatty acids aur lignus tatwo anti-cancer agent hote hai jo na keval cancer se bachaaw karte hain balki prostrate, breast cancer, lung cancer aur colon se bhi raksha karte hain.
Hriday ka rakh-rakhaw:
Alsi ke neeyamit sevan se bad cholesterol, ortho sclerosis aur blood pressure ko kam kiya jaa sakta hai. Yahi sab kaaran hote hain jinse hriday me rogon ki shuruwaat hoti hai. Alsi ke sevan se dil ki in beemariyon se bacha jaa sakta hai.
Paachan Tantra Ki Suraksha:
Pet me hone waali vibhinna pareshaaniyan jaise Indigestion, Gas banna, Kabz rehna, pet ka theek se saaf na hona, acidity, dast hona aadi kuch saamanya pareshaaniyon ko alsi ke neeyamit sevan se door kiya jaa sakta hai.
Mahila Rogon Me Laabhdayak:
Pre-Menopause aur Post-Menopause aur hormones ko neeyantrit karne mein alsi ka tail bahut gunkaari hota hai. Iske atirikt lignus Breast Cancer se bhi bachaaw karta hai.
Purush Sambandhi Rogon Ka Upchaar:
Purushon me badhti umra ke saath prostrate ki samasya ek aam samasya hai..Alsi ke roz khaane se prostrate sambandhi anya pareshaaniyan jaise soojan, inflammation aur cancer aadi se bhi bachaaw hota hai. Iske alaawa napunsakta, shukraanu nil hona yak am hona, ling me blood flow sahi na hone ke kaaran ED (Mardaana kamzori) ki samasya ko bhi alsi ka sevan, khatm karne me kaafi madadgaar saabit hota hai.
Dard Aur Soojan Me Aaram:
Alsi me shaamil Omega-3 aur anek fatty acids hone ke kaaran shareer mein prostaglandin hormones ka nirmaan acchi tarah se hota hai aur yahi hormones shareer ke nirman ke liye bahut zaroori hote hain. Darasal ye hormones anti-inflammatory hote hain jo asthama, migrane, gathiya aur jodo ke dard aur soojan ko kam karne auur neeyantrit karne me bhi sahaayak hote hain.
Haddiyon Ka Swaasthya:
Alsi me alpha lino-enic acid haddiyon ki sabhi beemariyon ko door rakhnen me madad karte hain. Inhi tatwo ke kaaran umra badhne par haddiyon ki pareshaaniyon me kami aati hai aur inki sehat me sudhaar aata hai.
Saundarya Upchaar:
Alsi ke beej, beejon ka powder aur beejon ka tail sabhi twacha aur baalon ke rakhrakhaaw ke liye uttam source hai.
Alsi Aur Twacha:
Inke nirantar prayog se skin tone me sudhaar aata hai aur chamak bani rehti hai. Skin ko saaf rakhne se Black head, White head, munhaanse aur daano ki samasya khadi nahi hoti hai. Alsi ka tail istemaal karne se yaha Dry Skin, Sunburn ki pareshaani ko hal karke twacha ko mulaayam aur nam rakhta hai. Iske neeyamit prayog se khujli aur eczema bhi nahi hote. Skin allergy aur skin cancer se bachaaw me bhi alsi madad karti hai.
Alsi Aur Baalon Ka Saundarya:
Alsi ke neeyamit prayog se baalon ki sehat bani rehti hai aur rookhe aur bejaan baal, domunhe baal aur baalo ke jhadne aur asamay safed hone ki samasya ka hal fauran ho jaata hai. Alsi ka tail sir me khujli, baalon ke tootne aur kamzor baalon ki samasyaaon ko door karne me madad karta hai.
Alsi Ke Prayog Me Saavdhaaniyan:
Alsi ka prayog karte samay kuch baaton ka dhyan rakhna chahiye jaise:
- Zaroorat se zyada alsi pet sambandhi beemaariyon ko khada kar saktu hai.
- Agar shareer me iron ki kami ho to alsi nahi khaani chahiye.
Jo log blood thinners le rahe ho, unhe alsi se parhez karna chahiye. - Alsi ka powder roz taiyyar hona chahiye.
- Pregnancy aur Breast-feeding ke samay alsi nahi lena chahiye.
- Shareer me allergy, bipolar disorder aur rakt sambandhi pareshaani ho to alsi na khaayein.
- Diabetes, thyroid, cholesterol aur blood pressure ki dawayi ke saath alsi ka sevan warjit hai.
Alsi Ka Prayog Kaise Karein:
- Alsi ke beejon ko kabhi seedha na khaayein, balki powder ya juice ke roop me hi iska sevan karein.
- Pet ki pareshaaniyon se bachne ke liye alsi ke khaane ke sath bahut saara paani pee lein.
- Alsi oil ka hamesha capsule ke roop me hi sevan karein.
- Atee har cheez ki buri hoti hai aur alsi bhi iska apwaad nahin hai, isliye alsi ka uchit maatra me hi sevan karein aur iske anginat guno ka laabh uthaayein.
Leave a Reply