Aalu ke chips zyadatar sabhi ko pasand aate hai aur iski maang bhi kaafi hoti hai. Ye patle-patle chips kurkure aur namkeen hote hai, aur khaane mein maza to kaafi aata hai. Ye naashte me kaafi pasand kiye jaate hai. Baazar me ye kayi tarah ke flavour me milte hai. yah mehenge bhi nahi hote aur chote chote packets me milne ke karan kahi bhi aaram se le jaye ja sakte hai. yah khaane me kaafi swadisht bhi lagte hai. par jaise kisi bhi cheez ki ati karna nuksaandayak hota hai, vaise hi aalu ke chips ka zyada sevan karna bhi haanikarak hota hai.
- Aalu ke chips ka zyada sevan karne se hamare sharir ko purn roop se fibre nahi mil pata jisse hamare pachan kriya me pareshani aa sakti hai.
2. Iska zyada sevan karna motape ka karan bann sakta hai.
3. Aalu ke chips me namak ki matra zyada hoti hai. yah aapke blood pressure bandhne ka karan bann sakta hai.
4. Iska zyada sevan karne se pet me dard rehne jaisi pareshani bhi ho sakti hai.
5. Aalu ke chips ko tel me tal kar taiyar kiya jata hai jisse cholesterol bhi badh sakta hai.
6. Aalu ke chips me zyada matra me calorie hoti hai jisse diabetes hone ki sambhavnayein badh jati hai.
7. Aalu ke chips zyada khane ki heart diseases hone ki sambhavnayein bhi badh jati hai.
8. Aalu ke chips hamare sharir me glucose aur insulin ke level ko bhi kam dete hai.
9. Aalu ke chips zyada khane se daant sadne ki pareshani bhi hoti hai kyuki ye zyada samay tak daant me chipke reh jate hai.
10. Aalu ke chips ko zyada dino tak sahi rakhne ke liye inme chemicals ka istemaal kiya jata hai jo cancer ka karan ban sakte hai.
Leave a Reply