Madhumeh ka kaaran badalta lifestyle, khan-paan me aneeyamitta, shaareerik shram ki kami, motapa, tanaav ityaadi ho sakta hai. Lagbhag 90 prateeshat logo me type-2 madhumeh paaya jaata hai. Type-2 madhumeh hone par blood sugar ka star zyaada badh jaata hai aur insulin bhi isme sahi se kaam nahi kar paata. Aise me madhumeh type-2 rog hone par swayam ki dekhbhaal kaise karein, jaaniye.
Yog aur Vyayam
Vyayam karna sehat ke liye bahut aawashyak hai khaas kar ke madhumeh type-2 jaise rog mein. Na kewal rozaana vyayam is rog me swasth rakhta hai balki isse insulin ke prati sharer ki samvedansheelta bhi badhti hai, jisse madhumeh neeyantrit ki jaa sakti hai.
•Roz subah aur sham kam-se-kam 30 minute tak paidal chalein.
•Tairna, cycle chalaana ya stretching waale vyayam bhi tanaav se bachaate hain aur madhumeh se bhi raahat dilate hain.
•Yog madhumeh type-2 ko dur karne ke liye sabse accha aur behtar tareeka hai. Neeyamit roop se yog karein aur rogo se chhutkaara paayein.
Madhumeh neeyantrit karne ke liye kuch yog is prakaar hain
• Kapalbhati
•Anulom Vilom
•Sukhaasan
•Tadasan
•Matsyasan
•Shwasan
Aahaar
Madhumeh Type-2 me kya khaayein
1. Fal
Fal jaise papeeta, seb, santra, naashpaati aur amrood aadi ka madhumeh type-2 me sevan karna swaasthya ke liye faaydemand hota hai jabki aam, kele aur angoor aadi me adhik sugar hoti hai, aise me inka sevan kam karein.
2. Fibre yukt padaarth
Jaamun, karela, soyabean, lehsun, pyaaj, alsi, moong dal, methi aadi jinme bharpoor fibre hota hai, madhumeh ka niyantran karne me sahaayak hote hain. Inka sevan karna madhumeh type-2 me faaydemand hai.
3. Kam fat waale padaarth
Kam wasa yukt padaarth jaise Canola tail, mewe, macchhli, avocado, jaitun ka tail aur alsi ka tail ityaadi jinme Omega-3 aur MUFA bharpoor maatra me hota hai inka sevan bhi madhumeh type-2 me faaydemand hai
4. Protein
Protein yukt aahaar jaise faliyan, macchhli ya chicken ityaadi bhi madhumeh type-2 me laabhdayak hai.
Kya na khaayein
Adhik cheeni wa namak waale padaarth, chai, coffee aur maide wale padaarth madhumeh type-2 me swaasthya ke liye haanikaarak ho sakte hain. In padaartho se dur hi rahein.
Chawal, aalu, kele, masale wala wa lata bhuna khaana ityaadi bhi is rog me bahut nuksaandayak hain.
Gharelu upaay
• Raat bhar methi ke daane ko pani me bhigoyein. Subah inhe khaayein aur upar se pani piyein. Is tareeke se madhumeh neeyantrit rahta hai.
•Raat bhar aloe-vera ko paani me bhigone ke baad subah is paani ko khali pet piyein, isse bhi is rog me faayda hoga.
•Karele ka juice dono tarah ke madhumeh ko neeyantrit karne me sahaayak hai, karele ka juice rozaana khali pet piyein aur madhumeh ko neeyantrit karein.
•Ek cup gungune paani me ek chammach dalcheeni daal kar mix kar lein aur rozaana piyein, isse bhi laabh milega.
•Motaapa na hone de aur wazan ko neeyantrit rakhein.
•Dhoomrapaan se dur rahein.
Leave a Reply