Ishvar ne jab is shrishti ki rachna ki to usne mahilao ko bahut hi sunadar kaya pradan ki thi. Sundar sharir ki dekhbhal agar sahi tarik se ki jaye tabhi uski garima bani rehti hai. Mahilao ki rojmarra ki jarurato me kai cheze shamil hai jinme se ek hai bra. Lekin ashcharyajanak tathya yah hai ki lagbagh 85 pratishat mahilaye apne liye sahi size ki bra ka chunav nahi kar paati hai.
Sahi size ka chunav na karne ke wajah kai karan hai inme se ek yeh bhi hai ki kai mahilao ko apna sahi size hi pata nahi hota kai mahilaye aisi bhi hai jinhe size sahi pata hota bhi hai to woh fashion or brand ke chakkaro me padkar galat bra ka chunav kar leti hai. Jisse unka sharir sirf baidol hi nahi dikhta parantu unhe svasthya samasyae bhi ho jati hai.
Ek tathya yah bhi hai ki kaye mahilaao ko pata hi nahi hota hai ki kaise pehchana jaye ke jo bra wo pehan rahi hai wo sahi size ki hai bhi ya nahi. To aaeye dekhte hai ki kaise pata kiya jaaye ki aapki bra ka size aapke liye sahi hai ya nahi.
Agar aapke sharir par bra ke straps ke nishan bante hai to iska matlab yeh hai ki apne bra strips ko sahi tarah se adjust nahi kiya hai or agar use sahi karne ke bad bhi yahi samsaya bani rehti hai to iska matlab apki bra ka size chota hai.
Agar aapki bra ka back apki pith ke ekdum bichobich nai hai or wo upar ki orr uth raha hai to iska matlab yeh hai ki wo aage ki orr jhuki hue hai or apke stano ko jo support milna chahiye wo nahi mil pa raha hai..
Bra cup ka chota hona bhi yeh darashata hai ki aapne apni bra ka chunav galat kiya hai.bra ka cup itna gehra hona chahiye ki apka stan puri tarah se uame dhaka hua rahe.
Apki bra ke under wire se bhi pata lgaya ja sakta hai ki wah size thik hai ya nahi. Ise parakhne ke liye bra pehne hue aap under wire ko chu kar dekhe agar aapko apni haddi mehsus hoto hai to aapko bra ko size ekdum thik hai nahi to apko dusre size try marna chahiye.
Sahi bra ka chunav ke liye sabse pehle sahi maap ki avashyakta hoti hai isliye bra kharidne se pehle hi ghar par inch tape se apna size barabar maap le taki aap dukan me jakar koe galat chunav na kare.
Choti size kei bra jaha din bhar ghutan ka ehsas karwati hai wahi agar size bada ho jaaye to sharir ko bedol banati hai isliye hamesha sahi size ka chunav karen.
Leave a Reply