Manjistha ek bel hai jo zyadatar parvatiya ilakon me paayi jati hai. iske patte khurdure aur dil ke aakar ke hote hai. iske fool bohot hi chote hote hai, aur halke hare rang ke hote hai. iske fal gol aur pakne ke baad gehre baigani rang ke ho jate hai.
Manjistha me kayi saari ayurvedic properties hoti hai aur ye kayi saare rogo ke liye ek raambaan ilaaj bhi hai. ye sharir ke upar va sharir ke baahar ke rogo ke kaam krti hai. manjistha me khoon saaf krne ki properties hoti hai, ye thandat pahuchati hai, blood circulation me madad karti hai aur hamari skin ko bhi swastha rakhti hai. iske alawa ye hamare immune system ko bhi swastha rakhne me bhi madad krti hai.
Manjistha ka prayog anek tarah ke rogo ka nivaran karne ke liye kiya jata hai :-
•Chehere ke daag
Manjistha chehere ke daag saaf karne me madad karta hai. 4 chammach manjistha ki jadd ka kadha banakar neeyamit roop se subah-shaam peene se daag dur ho jaate hai. saath hi iski jadd ko shehed me ghis kar chehere par lagane se nikhar aata hai aur daag bhi gayab ho jate hai.
•Sujan ke liye
Manjistha sujan ke liye laabhdayak hai. barabar matra me manjistha ki jadd aur mulethi ka lep sujan wali jagah par lagane se sujan kam ho jaati hai.
•Jale hue ghaav
Manjistha me thandat hoti hai. manjistha ki jadd aur chandan ko ghee me ghis kar, lep banakar jale hue ghaav par lagane se jalan kam ho jati hai aur ghaav bhi jaldi bhar jata hai.
•Pathri
Manjistha pathri ke liye bhi bohot laabhkari hai. manjistha ki jadd 2 gram ki matra me 4 chammach paani ke saath pratidin 3 baar lene se kuch hi saptah me pathri galkar baahar nikal jaati hai.
•Haddi ka tutna
Mahuye ki chaal, manjistha ki jadd aur imli ke patto ko barabar matra me lekar iska lep bana le. lep ko tuti hui haddi ki jagah par lagakar bandne se laabh milega.
•Dast
1-3 gram manjistha ki jad ka churn pratidin 3 baar sevan karne se kayi varsh purane dast ke rog me bhi aaram mil jata hai.
•Nakhoon ke rog
Manjistha naakhoono ke rogo ke liye bhi atayant laabhkari hai. 20-40 millilitre manjistha ka kadha pratidin 3 baar lene se naakhoon ke rogo me aaram milta hai.
•Baal
Majistha kayi prakar ke tel me bhi istemal kiya jata hai. yah baalon ke liye bhi bohot laabhdayak hai. manjistha baalon ko uska natural rang dene ka kaam krti hai aur baalon ko safed hone se rokti hai. manjistha baalon ko poshan dene ke saath saath unhe majboot bhi banati hai.
Leave a Reply