Brahmi ek ayurvedic aushadi hai. yah poore bhaarat me paayi jati hai. Yah zyadatar paani ke kinare paayi jaane wali booti hai. Iski bel bahut naram hote hai, aur ye geeli zameen par faltiehai. Iske patte hare aur phool neele hote hai, tatha iska swaad bahut kadva hota hai.
Brahmi kayi saare rogo ka nivaran karne ka kaam karti hai. iska sabse prasidhh upyog buddhi me badhautari karne ke liye kiya jata hai. Isme kayi saare poshak tatva paaye jate hai jaise, glycoside, valerian, ascorbic acid, brahmic acid, aadi. Ye kabj, gaathiya, khoon saaf karna, aur heart ke liye bhi faaydemand hai.
Iske kayi saare aushadhik prayog hai :-
•Smaran shakti
Dimag ko shakti dene ke liye brahmi bahut achi tarah se kaam karti hai. Dimag ki shakti badhane ke liye ise badam aur kali mirch ke saath taiyaar kiya jata hai, aur sevan doodh ke sath kiya jata hai.
Brahmi ka pratidin sevan karne se concentration power bhi badhta hai.
•Kabj
Brahmi me kayi aise poshak tattva paaye jate hai jo kabj ki pareshani ko bhi dur karte hai. Isme khoon saaf karne ki bhi shamta hoti hai.
•Anidra
Brahmi ka 3 gram ka churn aadha kilo gaay ke kachhe doodh me milakar chaan le. Iske ek hafte tak sevan karne se neend na aane ki beemari thik ho jaati hai.
•Khaansi aur bukhar
3 gram brahmi, 3 gram shankhpushpi, 6 gram badaam ki giri aur 3 gram choti elaichi ke beej, in sabhi ko paani me ghont kar chaan le. Ab ise mishri me milakar pilaye. Isse khansi aur bukhar me raahat milti hai.
•Baal
Baal jhandna rokne ke liye bhi brahmi kaam aati hai. brahmi ke panchang ka churn 1 chammach ki matra me subah-shaam lene se atayant laabh hoga.
•Madhur aawaz
100 gram brahmi, 100 gram munakka, 50 gram shankhpushpi, in sabhi cheezon ko 4 guna paani me milakar iska ark nikal le. Iska prayog karne se sharir swasth aur aawaz saaf ho jati hai.
•Mirgi ke daure
Kaafi samay se brahmi ka istemaal mirgi ke liye kiya ja raha hai. brahmi ka ras ya uski jadd ka churn din me 3 baar doodh ke saath sevan karne se mirgi ke daure padna band ho jaate hai.
•Immune system
Brahmi me antioxidant paya jata hai jo virus ya bacteria se ladne me madad karta hai aur hamare immune system ko aur majboot bhi banata hai.
•Raktchaap
Brahmi ke patto ka rass 1 chammach ki matra me aadhe chammach shehed ke saath sevan karne se ucch raktchaap samanya ho jata hai.
•Daant dard
Brahmi ka istemaal daant ke dard jaisi pareshaniyo ke liye bhi kiya jata hai. Iske liye ek glaas paani me aadha chammach brahmi ubaal le, aur isse kulla kare. Aisa karne se daant ka dard band ho jata hai.
Leave a Reply