Aajkal ke daur me baal jhadna ek aam baat ho gayi hai. Log apni life me itne busy hai ki ve khud par dhyan hi nahi de paate. Kaam ki tension, aaram na milna, thik se khana na khana, time par na soone aadi baal jhadne ke kaaran bann sakte hai. In kaarano me se koi na koi kaaran hamari zindagi me bhi maujood hai, jo abhi nahi to baad me baal jhadne ka kaaran bann sakta hai.
Shodhkartaaon ki maane to aadmi aurton ke mukable zyada jaldi ganjepan ka shikar ho jate hai. Iska ek kaaram to genetic ho sakta hai. Par iska mukhya kaaram sharir ki banavat hai. Auratoon mein baalon ke liye 2 chromosomes hote hai, whi aadmiyon me ye sirf ek hi hota hai. Isliye auratoon me ek chromosome damage hone ke k baad bhi ek chromosome baalon ko sar pr banaye rakhta hai, wahi dusri orr agar aadmiyon mein ye chromosome damage ho jaye to ve ganjepan ka shikar ho jate hai.
Baal jhadne ke aur bhi kayi kaaran ho sakte hai, jaise ki :-
Tanaav
Aajkal ki bhaagdaud bhari zindagi me harek vyakti tanaav se guzrta hai. Tanaav ke kaaran hamare sharir ki energy bahar nikal jati hai, jisse sharir ko poori tarah se energy nahi mil paati. Ye lambe samay tak rehne se baal jhadne ka kaaran bann jata hai.
Heredity
Yah ek aisa kaaran hai jiska zyadatar koi upaay nahi kiya ja sakta. Agar aapke parivar me aapke poorvajo ko bhi baal jhadne ki problem thi, to vo aapko bhi ho sakti hai. Heredity se hone wali problem ko jaldi thik karna thoda mushkil hota hai, aur inka ilaaj bhi lamba chalta hai.
Hair styling
Aajkal fashion aur styling ka bohot chalan hai. Alag alag kapdo ke saath alag alag hair styles bhi kiye jaate hai. Hair styling ke liye alag alag tarike ke tool ka istemaal kiya jata hai. Inke lagataar istemaal se baalon ki jadein kamzor ho jati hai, aur ant me baalon ke jhadne ka kaaran bann jati hai.
Hormonal changes
Ek samay ke baad har kisi ki sharir me hormone me badlaav aata hai. Kabhi kabhi ye badlaav kisi cheez ke side effects ke wajah se bhi ho sakta hai. In hormonal changes ka asar baalon par bhi padta hai. Sharir me kamzori aane ke saath saath baal bhi kamzor ho jate hai aur jhadne lagte hai.
Poor diet
poor diet yaani adhura poshan. Bhaagdaud bhari zindagi me log khane par zyada dhyan nahi de paate. Saath hi baahar ke khane se vo poshan nhi mil paata jiski hamare sharir ko zarurat hoti hai. Sharir ko poori tarah pooshan na milne ki wajah se baal aur sharir dono kamzor aura lag alag beemariyon ka shikar ho jate hai, jisse baal jhadne ki bhi samasya aane lagti hai.
Chemotherapy
Chemotherapy vo treatment hai jisse cancer ka upchaar kiya jata hai. Iss upchar me ya to sar pe kisi choti si jagah ke baal jhad jaate hai ya poorn ganjapan aa jata hai.
Pregnancy
Pregnancy ke dauraan ek aurat ke sharir me kayi tarah ke hormonal changes aate hai, jo baal jhadne ka kaaran bann sakte hai.
Vitamin B ki kami
Hamare sharir ko kayi tarah ke vitamins aur minerals ki zarurat hoti hai. Unhi me se ek hai Vitamin B. Vitamin B ki kami kayi tarah ki problems ka kaaran bann sakti hai, jinme se ek hai baalon ka jhadna.
KONIKA SHARMA
actually main trimming k alaawa kuch nhi krti aur ab to ek hi shampoo use krti hu aur na main color karaati hu. aur to aur main to dryers ya strightners bhi use nhi krti phir kyu jhad rhe mere baal. Even mere eyebrow k baal bhi nikl rhe h……kanghi krti hu to bhi frsh pr duniya bhar k baal dikhte h
KONIKA SHARMA
actually main trimming k alaawa kuch nhi krti aur ab to ek hi shampoo use krti hu aur na main color karaati hu. aur to aur main to dryers ya strightners bhi use nhi krti phir kyu jhad rhe mere baal. Even mere eyebrow k baal bhi nikl rhe h……kanghi krti hu to bhi frsh pr duniya bhar k
baal dikhte h…PLS HELP ME