Amla ka gun ek nahi, anek hai. Iske guno ki ginti karna aasan nahi hai. Ye lagbhag har jagah kaam aane wala fal hai.
Amla vitamin C ka ek bohot acha strot hai aur isme anti-oxidant bhi paya jata hai. Ek chhote se amla me 2 santaron ke barabar vitamin C paya jata hai. Amla kareeban bhaarat ke har rajya mein paya jata hai aur hazaron tarah ki sharir se judi pareshaniyaon ko thik karne ke kaam aata hai. Sath hi saath, kai saari khoobiyon ke karan amla ko ayurvedic aushadhi ki tarah bhi istemal kiya jata hai.
Amla skin ki sundarta badhata hai, sharir ki prakiya ko sudharta hai, immune system ko majboot krta hai, baalon ko majbootti deta hai, aankhon ko swasth rakhta hai, haddiyon ko majbooti deta hai aur wajan kam karne me bhi madad krta hai.
Bas itna hi nahi, iske aur bhi kayi fayde hai. Aap iske fayde padh kar ise apnane se khud ko rok nahi payenge.
1. Aakhon ki Swasthata
Amla aankhon ke liye ek bohot achi aushadhi hai. Yah dekhne ki shakti ke sath sath umra ke sath aane wale aankhon ki pareshani se bhi bachata hai.
2. Paachan Shakti
Amla ke juice ka sevan karne se pet se judi pareshaniyon se nivaran milta hai aur paachan tantra ko bhi majbooti milti hai.
3. Khoon ki Shuddhi
Amla ka juice khoon ko bhi saaf krne me bhi madad krta hai. Yah hamare khoon me se haemoglobin aur red blood cells ki matra ko badhata hai.
4. Dil ki Pareshani
Amla ka juice dil ki pareshaniyon ke liye bhi kaam aata hai. Yeh dil ki pareshaniyo ko dur kar ke dil ki maanspeshiyon ko majbooti deta hai. Ye cholesterol ko bhi sahi matra me rakhta hai.
5. Diabetes
Diabetes bhaarat me kayi logo ki pareshani ban gaya hai. par amla ke paas is pareshani ka bhi samadhan hai. amla ke juice ko haldi ke powder va shehed ke sath din me do baar le sakte hai. isme paye jaane wala chromium khoob me sugar ki matra ko santulan me rakhta hai.
6. Cancer
Amla me bhaari matra me paye jaane wala antioxidant free radicals ko banne se rokta hai.yah tumor ko banne se rokta hai aur anti-tumor drugs se hone wale nuksan se bhi bachata hai.
7. Infection
Amla me payi jaane wali bacteria rodhak shakti sharir ko bacteria, virus aur fungus se hone wale infection se ladne me madad krti hai.
8. Saaf rang
amla me paye jaane wala antioxidant aur vitamin C sharir ke rang ko bhi nikharta hai.
9. Daant aur nakhoon ki majbooti
amla daanton aur nakhoonon ko majboot karne me madad krta hai.
10. acidity
acidity se pareshan logo ke liye bhi amal laabhkari saabit hota hai.
11. Chehere ke daag
amla chehera va sharir ke daag ko hatata hai aur dead skin ko hata kar skin ko aur khoobsurat banata hai.
12. Skin ka upchar
amla skin ka upchar kar ke tuti va fati hui shik ko dobara se banata hai.
13. Baal
Amla baalon ko swasth rakhne me madad krta hai. iske evan se baalon ki chamak me nikhar aata hai aur baalon ka jhadna bhi kam hota hai.
14. Baalon ki Roosi
Amla ka sevan karne se ya uska paste baalon me lagane se baalon ki roosi se chutkara milta hai hai.
15. Safed baal
Amla umra se pehle baalon ko safed hone se rokta hai aur unhe aur kaala karne me madad krta hai.
16. Muh ke chaale
Amla ke juice ka sevan karne se muh me hone wale chalon se nivarna paya ja sakt ahai.
17. Immunity
Amla juice me bhaari matra me vitamic C aur iron hota hai. yah sharir ko bharpur takat deta hai tatha hamare immune system ko bhi majboot krta hai.
18. Blood plessure ka santulan
Amla powder ka lagatar istemal blood pressure ko kaabu me rakhta hai.
19. Ulti aur hichki
Misri aur paani ke saath amla juice ka sevan din me do se teen baar karne se ulti aur hichki ki pareshaniyo me aaram milta hai.
20. Liver
Liver ki majboot karne ke liye amla ki chutney shehed ke saath din me do baar lena chahiye. Isse liver ko majbooti milegi aur liver ki anya pareshaniyo se bhi nivarn milega.
21. Piles
Piles ke liye bhi amla bohot laabari saabit hota hai. amla ka powder dahi ki malai ke saath din me do se teen baar lene se piles ki pareshani thik hoti hai.
22. Pathri
Amla cholesterol ke level ko kam kar deta hai isliye isse patrhtri hone ki sambhavnae bhi kam ho jati hai.
23. Yaad krne ki kshamta
Amla yaad karne ki shakti ko badhava deta hai. ye mood ko taazgi deta hai aur neend na aane ki pareshaniyo ko bhi dur krta hai.
24. Asthama
Amla juice aur shehed din me do baar lene se asthama ki beemari se nivaran milta hai.
25. Soojan
Amla sharir ke kisi bhi bhaag ki soojan ko kam kar ke maanspeshiyon ko dobara banne me madad krta hai.
Leave a Reply