Laung ped ke fool ko kaha jata hai. Yah aakar mein bahut chote hote hai aur inka istemaal inko sukhaane ke baad kiya jata hai. Iski paidavaar poore desh me kiya jati hai, aur iske kaliyaan saal bhar aati rehti hai. Laung ki kaliyan pehle peeli hoti hai, dheere dheere gulabi rang me badalti hai aur baad me kale rang ki ho jati hai. Iske sukhne ke baad isko khaane ke liye taiyar kiya jata hai.
Laung me vishesh prakar ka swaad isme maujood eugenol ke karan hota hai. Saath hi saath laung me vishesh prakar ka tel bhi paya jata hai. Isme kayi saare vitamins aur minerals hote hai jaise calcium, iron, phosphorus, sodium, vitamin C, vitamin B12, vitamin B6, Vitamin A, aadi.
Laung me kayi saare aushadhik gun hote hai jiske karan ise kayi saari aushadi bnane me bhi istemaal kiya jata hai. Isme paaye jaane wale tel aur swaad ke karan ise khaane me masala ki tarah bhii istemaal kiya jata hai. Iske alawa pooja aur hawan me laung ka bahut mahatva hai. Vah laung jiska fool saboot ho use bahut pavitra maana jata hai.
Laung ke fayde
• Laung daant ke dard ke liye bahut asardar dawa hai. Laung me maujood tel daant ke dard ko kam kar deta hai, aur isse masoodon ki sujan bhi kam ho jati hai. Laung muh me infection ko bhi failne se rokta hai.
• Laung ki khushboo ke kaaran ji machalna, ulti, aur ghabrahat jaisi pareshaniya bhi dur ho jati hai. Ulti ke liye laung ke powder ko shehed me milakar upyog kiya jata hai.
• Laung ki properties paachan tantra ko sahi rakhne me madad karti hai. laungh pet ka foolna, pet dard, ulti, aur dast jaise pareshaniyo ko dur karta hai.
• Laung me maujood anti-inflamatory properties jodo ke dard ko kam kar ke sujan ko bhi kam karti hai.
• Laung pimple, black head, daag, ko bhi dur karta hai. Isse infection bhi tik ho jata hai. laung ke tel ki 1-2 boondein nariyal tel me milakar din me 2 baar lagane se kafi fayda milta hai.
Laung ke nuksaan
♦ Laung khoon ko patla karti hai, isiliye kisi bhi surgery ya operation ke turant baad iska istemaal nahi karna chahiye.
♦ Laung ka adhik istemaal karne se muh ke andar ki skin chil sakti hai.
♦ Laung ko pain killer ke saath nahi lena chahiye.
♦ Laungh blood me sugar level ko bhi kam kar deti hai.
♦ Laung me garmahat hoti hai. isliye iska zyada istemaal nuksaandayak ho sakta hai.
♦ Laung har kisi ko suit nahi karti. Kisi kisi vyati ko laung ke istemaal se allergy ho sakti hai.
♦ Laung ke tel ko zyada lagane se jalan mehsoos ho sakti hai.
Leave a Reply