Elaichi lagbhag har ghar me paayi jaati hai. kaarn hai iski khushboo aur iski swaad badhane wali properties. Elaichi ki mehek mann ko nahi, khaane ko bhi meheka deti hai. Elaichi me kayi saare tattva bhi paaye jaate hai jaise potasium, calcium, sulphur aur magnesium. Elaichi anti-oxidant ka bhi kaam karti hai.
Elaichi do prakar ki hoti hai – badi elaichi aur choti elaichi. Badi elaichi ko zyadatar khaane me masaale ki tarah istemaal kiya jata hai aur choti elaichi ko mouth freshner aur mithaiyon me istemaal kiya jata hai.
Elaichi ke bahut se swaasth se sambandhit fayde bhi hai, jiske baare me bohot kam log jante hai. Ise kayi saari aushadi bnane me bhi istemaal kiya jata hai.
- Elaichi paachan tantra ko majboot karti hai.yah gale aur pet me hone wali jalan ko kam kar ke sharir ko thandat pahuchati hai. Yah gas, acidity jaisi shikayat ko bhi dur karti hai.
- Elaichi ki Sugandh ke kaaran ise mouth freshner ki tarah istemaal kiya jata hai. Yah muh me banne wale bacteria ko maarti hai aur muh ki durgandh ko bhi dur karti hai.
- Elaichi khaane se nasha karne ki aadat bhi dur ho jati hai. Nasha karne ki ichha hone par elaichi ke daane choosne se ichha khatam ho jati hai.
- Badi elaichi, doda, aur ek laung ko sek kar pees le, aur iska churn bana le. Iska ek chauthai bhaag shehed ke saath raat me dene se khaansi ki pareshani dur ho jati hai.
- Hichki aane ki pareshani me bhi elaichi kaam karti hai. iske liye 4 elaichi ko aadha kilo paani me ubal le, paani aadha reh jaane par ise peene se hichki band ho jati hai.
- Elaichi ko shehed ke saath lene se ghabrahat bhi dur ho jati hai.
- Elaichi thandi hone ke kaaran garmi se hone wali paresaniyo ko bhi dur karti hai.
- Elaichi ka istemaal ulti band karne ke liye bhi kiya jata hai. Ulti hone par elaichi ke daane khilane se aaram milta hai.
- Pregnancy ke dauran bhi elaichi di jaati hai taaki beemariyo se bacha ja sake aur pet zyada na nikle.
- Aankhon se paani girne ki samasya ke liye bhi elaichi laabhkari hai. 2 choti elaichi doodh me ubalkar dene se kaafi laabh milta hai.
- Elachi sar dard, pet dard, aur jodo ke dard ki purani beemari ko bhi thik karti hai.
- Elaichi pathri ki shikayat ke liye bhi bahut laabhkari hai, aur sath hi ye peshab ki jalan ko bhi dur karti hai.
- Elaichi blood pressure ko bhi niyantrit karta hai.
- Elaichi dimag ko majbooti deta hai aur yaadhast badhane me bhi madad karta hai.
- Elaichi aankhon ki Roshni badhane me bhi madadgar saabit hoti hai.
- Elaichi khoon ko saaf karne ka bhi kaam karti hai. yah hamare sharir se vishailey padaarth ko baahar nikal deti hai.
- Elaichi dil ki rakhsha bhi karti hai. ise khane se pulse rate niyantran me rehti hai.
- Elaichi depression jaisi pareshani ko bhi thik karne ki kshamta rakhti hai. Elaichi ko khaane ya uski chai peene se tanaav se chutkara milta hai, aur taazgi aati hai.
Leave a Reply