Palak ke kaye fayde hain ise kisi bhi roop me sevan kare chahe palak ka ras pijiye ya palak ka paratha. Sab jante hai palak me heamoglobin badane wale tatva maujood hai Ismein calcium magnesium iron tatha vitamin a,b,c bhi bharpur matra mein hai.
Jodo ki bimari jaise arthrities hone ki sambhavana ye kam karta hai. Isse rahat pane ke liye roj palak or tamatar milakar uski sabji banakar uska sevan karna chahiye.
Twacha ko jawan rakhne me bhi palak bahut labhkari hai. Jhaiya or jhuriya ko dur karne ke liye palak ke ras me nimbu ke ras ki aur kuch bund glycerin ki milakar rat ko sote samay chehre par lagayenge ya fir palak ko pis kar apne chehre par lep ke roop me bhi laga sakte hai.
Kabj ki agar samasya hai to subah uth kar kacche palak ka ras pratidin pine se usme rahat milegi yahi nahi agar palak ka kaada banakar sevan kiya jaye to pathri ghul kar urine ke raste se bahar nikal jayegi.
Palak ko agar aap apne niyamait aahar me shamil karengi to bal girne ki samsya se humesha ke liye chutkara mil jayega. Yeh sharir me iron ki kami ko pura karta hai jisme bal majbut hote hai.
Palak ko agar besan, gehu ka aata, jawar ka aata, or makke ka aata milakar guth ke parathe bana liye jaaye to yeh ek sampurn swadisht or paushtik aahar ban jata hai, Jo sab shauk se khayenge bhi or unko swasth rakhne me madad karega.
Jinme folic acid ki kami hoti hai uske liye palak bahut faydemand hoti hai. Garbhavasta ke karan mahilao ko palak khane ki salah di jati hai. Jo mahilaye stanpan karwati hai unhe bhi palak ka sevan karna chahiye kyuki yeh dudh vridhdhi me sahayak hai.
Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…
It is that time of the year when Hindus across India and the world are…
In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…
Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…
Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…
If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…