Religion

Vishva ke panch sabse sundar gurudware

  1. Gurudwara jiska shabdik arth hota hai guru ka dwar. Ye sabhi  bhakto ke liye humesha hi khula rehta hai.Chahe din ho yaa raat ho kaisa bhi mausam ho gurudware ke dwar humesha sabke liye khule rehte hai.
  2. Yaha par sikho ke 11 ve guru shri guru granth sahib ji ka nivas rehta hai jise bahut hi shandar palki ya ek uche sthan  par bade hi adar or samman ke sath rakha jata hai.
  3. Sirf humare desh me hi nahi parantu pure vishv mein apko sikh dharm ke anuyayi mil jayenge. Isliye alag alag jagah par gurudwara ka nirman hua hai. Inmein se kuch bahu prasidh gurudware hai

1. Shru harmandir sahib

Shri harmandir sahib sikho ka sabse bada dharmsthal hai. Yeh svarn mandir ke nam se bhi vikhyat hai. Shru guru ram das ji ka yeh gurudwara saade char sau varsh purana hai.

Yeh sarovar ke ekdum bicho bich bana hua hai or yaha ka suprasidh swadisht langar 24 ghante sabke liye khula rehta hai. Yaha par har roj hajaro ki ginti me paryatak aate hai or guru ghar me apna shish jhukate hai.

2. Gurudwara shri hemkund sahib

Utrakhand chamoli jila sthit hemkund sahib sikh dharm ke logo ka ek pramukh tirth sthal hai. Yeh 4632 metee ki uchai par hai or badrinath ke raste me, gobindghat se hote hue paidal chal kar hi yaha pahucha ja sakta hai. Manyta yah hai ki dasve guru shri guru gobind singh ji ne yaha par tap kiya tha.

3. Keshghar sahib

Keshgarh sahib ya anandpur sahib punjab me hai. Yeh sthan khalsa panth ke janam ke liye bhi jana jata hai. Yeh shehar sikho ke 9 ve guru shri Tej Bahadur Singh ji dwara basaya gaya tha.

4. Bangla sahib gurudwara

Delhi ke sabse suprasidh gurudwaro me se ek hai Canaught Place sithit bangla sahib gurudwara. Iska sone ka bana hua gumaband dur se hi pehchana ja sakta hai. Yeh jaipur ke maharaja Jai Singh ka bangla tha fir unhone ise sikho ke aathve Guru Shri Hari Krishna ji ko bhait kar diya.

5. Gurudwara panja sahib

yeh gurudwra hasal abal Pakistan me sthith hai. Yaha par sikho ke pratham guru shri guru Nanak Dev ji ke hatho ke nishan ek pathar par ubhare huye hai. Yaha par sirf sikh dharm ke anuyayi hi nahi balki videsho se bhi paryatak aate hain.

 

Jasvinder Kaur Reen

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

2 months ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

3 months ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

3 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago