Most-Popular

Soyabean shakahari logon k liye protein ka uttam srot

Pratiraksha pranali ko majboot rakhne aur thakaan ko rokne k liye tatha maanshpeshiyon avam haddiyon k dravyaman ko banaye rakhne k liye protein mahatvapoorn hota hai.

Shakahari log aksar sochte hain ki unhe paryapt protein nahi mil paata apne bhojan se. Jin khadya padarthon ka sevan wo karte hain unse poshan to mil raha hai par paryapt maatra mein nahi. Yadi aap uchch lysine padarth (faliyan, shetan,pista sur kadoo k beez) ki ek se adhik servings roj khate hain to shakahari bhojan se paryapt protein paana aasan hota hai.

Ismein soyabean padarth aur uske utpaad shamil hain(tempeh,tofu,soya milk aur soya meat aadi).
Ab baat karte hain soyabean k laabh k baare mein ki kaise ye aapki protein ki zaroorat ko poori karta hai?

Chayapachay Gatividhi

Jaisa ki upar ullekh kiya gya hai soybean protein ka mahatvapoorn srot hai. Jab aapke shreer mein paryapt protein hota hai to aapki chayapachay pranali behtreen tarike se karya karti hai. Protein nirmaan karta hai koshika block on ,rakt vahikaon aur mul roop se harawashyak shareer k angon ka.

Soyabean ka protein uchit swasthya aur koshikaon k punersthapan ko sunischit karta hai agar unhe badalne ya marammt ki awashyakta hoti hai.

Soyabean aamtaur par laal maans,chikan,ande aur machhli mein prapt protein k liye ek utkrisht pratisthapan pradan karta hai.

Wajan badhane mein sahyak

Soyabean fiber sur protein dono acchi matra mein pradaan karta hai. Agar soyabean ko badi matra mein khaya jaye to wajan badhane mein madad milti hai. Isiliye soyabean un logon k liye faydemand hota hai jo wajan badhana chahte hain.

Cancer se bachav

Soyabean cancer cells k nirmaan ko kam karne mein sahayak hota hai.

Hridaya swasthya 

Soyabean aapke cholesterol ko kam karne mein madad karta hai. Yeh aapko Atherosclerosis jaisi paristhitiyon se bacha sakta hai jisse dil k daure ya strokes ho sakte hain.

Aapke haddiyon k liye, chayapachay k liye, acchi neend k liye bhi ye bahut faydemand hai. Inn prabhavon k alawa jo aabadi k apekshakrit kam hisse mein dekha jata hai, soya duniyabhar k logo k liye ek swasth avam laabhkari vikalp hai.

Juhi Singh

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

2 months ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

2 months ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

3 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago