स्वास्थ्य

Shahi paneer, kadai paneer aur paneer butter masala ke recipe me kya antar hai?

Paneer ek aisa khadya padaarth hai jo lagbhag sabhi ko pasand hota hai. Paneer ki kayi tarah ki sabjiyaan banti hai aur ise kayi tarah ke bhojan me bhi istemaal kiya jata hai jaise paneer ke pakoda, paneer momos, paneer manchuriyan, paneer kofta, paneer kulcha, aadi. Dekha jaye to paneer shakahari logo ka sabse pasandida bhojan hai.

Shadi ho ya party, paneer ki ek sabji to zaruri banti hai. paneer ke pakode bhi bahut swadista bante hai. Paneer safed rang ka hota hai, aur yah doodh se banaya jata  hai. Yahi karan hai ke ise sabhi pasand karte hai. Yah khaane me bahut hi naram hota hai, aur isme doodh ki halki si mithas hoti hai.

Agar aap kisi restaurant me jaenge, to waha aapko paneer ki kayi tarah ki sabjiyan milengi. Inme se sabse zyada pasand ki jaane wali sabjiya hai shahi paneer, kadai paneer aur paneer butter masala. halaki Yah sabhi khaane me bahut lazeez hote hai, bas inke bnane ke tareekon me thoda sa farq hota hai.

Inme pehla antar jo paya jata hai vo hai masaalon ke istemaal ka antar. Paneer butter masala me khade masaalon ka zyada prayog kiya jata hai, aur shahi paneer me pise hue massalon ka prayog kiya jata hai. Halaki khade masaale kadai paneer me bhi istemaal kiye jaate hai, par matra me paneer butter masala se thode kam hote hai.

Dusra Ahem antar aata hai inke bnane ke liye istemaal hone wale tel ka. Paneer butter masala, jaisa ki naam se pratit hota hai, butter me bnaya jata hai, wahi shahi paneer ko kisi bhi aam tel me pakaya jata hai, jaise ki refined oil. Kadai paneer ko bnane ke liye desi ghee ka istemaal kiya jata hai jisse iska swaad badh jata hai.

Teesra antar aata hai inki gravy me. Paneer butter masala ki gravy ke liye cream ka istemaal kiya jaata hai. shahi paneer me kaaju ko paka kar uski puree banai jati hai, Jise gravy ke liye istemaal karte hai. Kadai paneer me gravy ka koi khaas mehetva nahi hota hai. Isme jo halki si gravy hoti hai, usme tamatar ki puree aur cream daali jati hai.

chautha antar paneer ke istemaal me kiya ja sakta hai. Paneer butter masala aur shahi paneer me  paneer istemaal karte waqt paneer ko kachha hi istemaal kiya jata hai, yaani sabji me daalne se pehle use pakaya nahi jata. Wahi dusri or kadai paneer me paneer ko  sabji me istemaal karne se pehle use ghee me halka sa bhoon lete hai, aur use paani me daal kar rakhte hai.

inke swaad me khaas farq nahi hota, bas halki si mithas ka farq hota hai. Ye mithas alag alag tarah ki samagri istemaal karne ki wajah se aa jati hai. Aur masaalon ke kam ya zyada istemaal karne ki wajah se teekhapan aa jata hai.

 

नम्रता सिंह

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

2 months ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

2 months ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

3 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago