Shahed K Aushadhiy Gunn

Shahed

 

 Shahed madhumakkhyon dwara fulon se nikale gye parag se banta hai. Madhumakkhiyan pehle parag se sugandh aur vaspikaran ki prakriya karte hue shahed bnati hain phir ise prathamik bhojan srot k roop mein moom chhidron se bane chhatte mein sangrahit kar leti hain. Manviye upbhog k liye shahed ko chhatte se kaat kar nikala jata hai. Shahed Ka swad alag alag prakar k fool par nirbhar karta hai jinse parag nikala gya tha.

 

Shahed K Gunn

1. Prakritik Jeevanunashak

 

Shahed ki visheshata hai ki yeh jeevanurodhi hai tatha ghaav ki num sthiti ko bnaye rakhta hai aur iski uchch chipchipahat sankraman ko rokne mein surakshatmk baadha pradaan karti hai. Iska immunomodulatory gunn ghaav bharne k liye prasangik hai.

 

2. Jukaam/sardi k liye accha

 

Jukaam /sardi aapke upri swasan tantra ka viral sankraman hai. Jukaam hanikarak nahi hota magar aise mein naak gale mein kharash, khansi, halka bukhaar, cheenk aana aadi lakshan bane rehte hain. 8 se 10 din mein swatah theek ho jaata hai. Aap jukaam ko shahed se theek kar sakti hain. Iske jeevanunashk gunn gale ki peedadayk kharash ko shant karte hain tatha jalan mein rahat milti hai. Yeh pratiraksha pranali ko badhata hai jisse sardi ki gambhirta kam ho jaati hai sur bhavishya mein sardi aur anya viruson ko rokta hai.

 

3. Dil k liye accha

 

Shahed ka bus ek chamachh aapke shareer ko cancer aur hridya rog se ladne k khilaf atirikt badhat deta hai aur hridya swasthy ko badhava deta. Yeh gram bhar ‘Madhumakkhi parag’ antioxidants mein kuch fulo aur sabjiyon k samaan hai.

 

4. Paachan mein sahayak

 

Shahed kabz aur gas ko kam karne mein madad karta hai. Shahed probiotic ya maitripoorn bacteria aur lactobacilli mein samridh hota hai jo pachan mein sahayata karta hai aur pratiraksha pranali ko majboot bnata hai.

 

5. Wajan ghatane mein sahayak

 

Yadyapi ismein shahed se adhik calorie hoti hai. Jab shahed garam paani k sath liya jaata hai to yeh aapke shareer mein jami vasa ko pachane mein madad karta hai. Isi tarah nimbu ka rass ya daalcheeni k sath shahed wajan kam karne mein madad karta hai.

 

6. Vitamin aur khaniz ka srot

 

Ismein vitamin aur khanizo ki bharmaar hai. Vitamin aur khanizo ka prakar avam unki matra apiculture mein istemaal kiye gye fulo par nirbhar karta hai. Amataur par shahed mein vitamin C , calcium aur iron hota hai. Yadi aap kisi bhi anya srot se niyamit cheeni mein vitamin aur khaniz samagri ki jaanch karte hain toh aap ise poori tarah anupasthit paayenge.

 

Juhi Singh

Recent Posts

What are Life Educators and you may Wellness Instructors?

ArticlesSend Eating vs Backwards FoodPerforms Feel And you will be firmly that they’ll help you…

13 hours ago

Walking: Thin your waistline, get healthy

A match life isn't only on the looking good for the outside; it’s on the…

13 hours ago

1xBet Промокод возьмите Безвозмездную Ставку Бонус 2025

Безвозмездная ставка по части промокоду 1xbet зачисляется автоматом. В видах извлечения бонуса через БК 1xbet…

2 days ago

Ставки на спорт Мелбет 2025: живой обзор с инсайдами и прогнозами

Ставки на спорт Мелбет 2025: полный разбор от профи Автор: Анатолий Рябинко — опытный спортивный…

5 days ago

Melbet вход зеркало 2025 — как обойти блокировку и не пропустить ставки

Melbet вход зеркало 2025: Обзор и Рабочие Способы Автор: Евгений Сантевит; Модератор: Светлана Донмез Если…

6 days ago

Sòng bạc tốt hơn không có GamStop năm 2025 Sòng bạc lớn nhất không có GamStop

Vòng quay miễn phí 100% không cần đặt cọc mới được cung cấp tại Aladdin…

6 days ago