Categories: Uncategorized

Pratidin ek glass doodh pijiye aur swasth rahiye

Dhoodh

 

Dhoodh protein,vasa, lactose avam vibhinn vitamins avam khaniz yukt ek safed taral khadya hai jise sabhi paripakv mahila standhariyon k stan granthiyon dwara paida kiya jata hai jab wo shishu ko janam deti hain aur yeh un shishuon ko poshit karne ka karya karta hai. Gayon bakariyon avam anya jaanwaron ka dhoodh manushhyon dwara khane k roop mein kiya jata hai.

 

Too yeh tha dhoodh ka parichay.Jab hum dhoodh k baare mein baat karte hain to hum aam taur par garbhavastha k dauran ya uske baad standhariyon k stan granthiyon se nikalne wale dhoodh ka sandarbh lete hain.Maa k dhoodh mein colostrum hota hai jiske dwara maa ki anti body shishu tak poohachti hai aur use kai rogon k jokhim se bachati hai. Iske alawa manushyon mein gaye ki dhoodh ki sabse jyada khapat hoti hai.Bhains,bakariyan,kaala,unt,hiran aur paani ki bhains jaise  dhoodh ka bhi duniya bhar mein logo dwara upyog kiya jata hai. Phir wah protein shake ho ya ek glass gunguna dhoodh ya phir kam  vasa wali dahi,dhoodh hai aur rahega uplabdh sroton mein ek swsthywardhk bhojan hamesha.dhoodh k 6 arab upbhokta hain.bharat dhoodh ka sabse bada utpadak aur upbhokta hai.

 

Dhoodh  k  swasthya  laabh

 

dhoodh ko jaane k baad ab hum iske laabh k baare mein baat karenge.

 

• Swasth  Shareer

 

dhoodh maanspeshiyon aur shareer k anya bhagon k liye iss grah par maujood sabse acchha srot hai.dhoodh mein 20% mattha aur 80% casein hota hai aur ye dono unchh gunvatta wale protein hain.

matthe ko fast protein ki tarah maana jata hai kyuki yeh jaldi se amino acid mein tootkar  khoon mein awshoshit ho jata hai.dhoodh k gun uchch raktachap aur stroke ka khatra kam karte hain.yeh yakrit k cholesterol ko kam kar deta hai aur ek acid ki tarah kaam karta hai.

 

• Swasth  haddiyan  avam  daant

 

yeh bacchon mein haddiyon ki vriddhi mein badhawa deta hai  jabki vyasko mein haddi ki taakat ko banaye rakhta hai. Calcium awshoshit karne k liye shareer ko vitamin D ki awasyakta hoti hai.dhoodh daanton k liye bhi mahaan hai,isse daant chhay aur chhidron ko rokne mein madad milti hai.

 

• Tanavrahit  jeevan

 

Din k ant mein gungune dhoodh ka ek glass tanaav ko kam karne avam tantrikaon ko aaram karne mein madad karta hai.yeh urza ko badha deta hai avam PMS ko kam kar deta hai.

 

• Swasth  dimaag

 

Ek naye adhyayan mein paaya gya ki jo log dhoodh peete hain unhe memory aur mastisk function k parikshaon mein uchch score milta hai.international dairy journal k ek haaliya adhyayan k mutabik  rojana ek glass dhoodh lene se keval mahatvapurn poshak tatvo ka hi balki ye aapke mastisk aur maansik pradarshan ko bhi laabh pahunchata hai.

 

Isi tarah dhoodh baalon k liye,tvacha k liye, hydration k liye, energy booster ki tarah dhero kaam karta hai.isliye ek glass dhoodh pratidin peejiye aur swasth rahiye.

 

 

Juhi Singh

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

3 weeks ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

4 weeks ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

1 month ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago