Health

Papita khaane ke das fayde

Papite ke sevan se bahrpoor vitamin c milta hai.bahut se log ise fal ke roop me hi nahi parantu sabji ke roop me bhi istemal karte hai. Vitamin a ,c or calcium se  bharpoor is fal ke khane se bhaut se aise fayde hain jisse hum anjan hai. To aaeye jante hai aise hi das faydo ke bare me

• Kacche papite ke tukde kar agar khali pet subah ajwain namak nimbu or kalimirch lgakar khaya jaaye to pet me hone wale keede nasht ho jayenge.

•Papite me anti oxidant tatav maujood hoya hai. Khali pet subh agar pipta kala namak or nimbu lagakar kuch dino tak sevan kiya jaye to apach, kabj or acidity se rahat mil jayegi.

•Kehte hai kachhe papito ki sabji ke sevan karne se stan me dudh badta hai or agar paka hua papita khane ke bad mitha gunguna dudh pine se stano ka vikas or unme dudh ki vridhi hoti hai.

•Gathiya sandhivat me papite ke patto ko pis kar til ke tail me paste bana le is paste ko thoda garam karke prabhavit jagah par sekh kar le.

•Gale me tonsil ki samasya se rahat pane ke liye papite ke dudh ko ek glass garam pani me milkaar uske gararre kar le.

 

• Papite ka face pack chehhre par lagane se muhase jhuriya dead cell se rahat milti hai. Iske liye papita ka guda nikal le or use chehre par laga kar rakhe.

• Piliya ya fir lever sambhandit pareshani se chutkara pane ke liye kacche papite par jeera or sendha namak lagakar sevan kare.

• Sirf fal hi nahi uski jad bhi bahut labhdyaak hai. Gurdo ki pathri se rahat dilati hai.Jad ko chahya me sukha kar pees le or yeh powder ko pani me raat bhar bhigo kar rakhe subah chaan kar pee len.

• Papite me dudh or shakkar mila kar uska shake bana le is shake ko lene se pet ki garmi se rahat milegi.

•Lakve jaise rog ke ilaj me bhi papite ka upyog kiya jata hai.uske sukhe hue bijo ko pees len or til ke tail me ubale thanda kar chaan kar rakhe or prabhavit ango par lagaye.

Jasvinder Kaur Reen

Recent Posts

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

1 year ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago

Black is Beautiful: Handpicked Black Sarees – Perfect Winter Wear

Check out a beautiful handpicked collection of black sarees, perfect for the winter season. With…

4 years ago

What is an Essential Oil? Explained in Detail

The word ‘essential’ in the essential oil is rooted in ‘essence’. The essence is the…

4 years ago

19 Awesome Saree Gowns That You Must Check Out

Sarees are a solid staple in an Indian wardrobe; one may dress them up or…

4 years ago