Mushroom ek sabji hai. Ise kai log pasand karte hai. Yah thand ke mausam me aasani se mil jata hai. Mushroom ki kheti bhi ki jati hai jisse ye ab har mausam me uplabdh hota hai. Ise kayi tarah se banaya jata hai. Isme kayi saare poshak tattva paaye jate hai. Isme iron ki maatra zyada payi jati hai. Mushroom ka sevan karne ke kayi fayde hai. yah kayi beemariyo ko bhi hone se rokta hai.
Mushroom hamari skin ke liye bahut faydemand hota hai. yah hamare skin ko plumping effect pradan karta hai. Mushroom me antioxidant paya jata hai, aur ye natural moisturizer ke roop me bhi jana jata hai. yah hamari skin ki raksha karta hai aur anti-aging ka bhi kaam karta hai. isme kuch aise tatva bhi paaye jate hai jo skin lightner ka kaam karte hai.
Mushroom me kayi saare vitamins aur minerals paye jate hai. Mushroom me fibre bhi paaya jata hai. Isme antibiotic bhi paya jata hai jo infection ko thik karne me madad karta hai. Mushroom me sugar nahi hota hai. Aur to aur ise khaane se sharir me insulin banne me madad milti hai. Isliye ye diabetes me faydemand hota hai.
Mushroom prostate aur breast cancer ko hone se rokta hai. Isme beta-glucans aur conjugated linoleic acid ke sath anti carcinogens hota hai. Yah sabhi tatva cancer se ladte hai aur cancer banne wale cells ko marne me madad karte hai.
Mushroom me vitamin B paya jata hai jo bhojan ko gucose me badalne aur urja pradan karne me madad karta hai. Isme paaye jaane wale tatva metabolism ko sahi rakhte hai jisse sharir ko bharpoor urja milti hai.
Mushroom me fats aur cholesterol nahi hota,ye cholesterol ki samasya se bachata hai.
Mushroom me vitamin A, Vitamin B aur vitamin C bhi paya jata hai, jo hamare sharir ki pratiraksha pranali ko banaye rakhne me madad karta hai.
Mushroom me adhik matra me folic acid aur iron paya jata hai jo sharir me haemoglobin ki matra ko badhane me mada karta hai aur sharir me khoon ki matra ko bdhata hai.
Mushroom me paaye jaane wala fibre aur baki minerals heart diseases ko dur rakhte hai.
Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…
It is that time of the year when Hindus across India and the world are…
In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…
Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…
Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…
If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…