Most-Popular

Karan ko sabse bada daanveer kyun mana jata hai?

Karn mahabharat ka ek aham patra tha. Unki prashansha yugo yugo se ki jati hai. Vah kushal hone ke sath sath ek bahut acha yodha bhi tha. Karn maa  vastavik mein kunti va pita surya the. Kunti ke vivah se pehle karn ka janma ho gaya tha, isliye lok lajja ke karn unhone use nadi me baha diya.


Adhirath ne karn ko nadi me paya to ve karuna kar ke use apne sath le gaye aur apne putra ki tarah uska paalan poshan kiya. Baalak ke sharir par kavach aur kundal dekhne ke baad adhirath samajh gaye the ki vah koi honhar rajkumar hai, isliye unhone uska naam vasushen rakha.


Vasushen ke bade hone ke uprant unhone shashtron ka Adhyayan karna shuru kar diya. Karn surya ka bahut bada upasak tha. Vah subah se sham tak upasna me hi vileen rehta tha. Upasna ke samay agar koi unse kuch maangta to ve kabhi use nirash nahi karte the.

Unke jaisa daanveer paandavon aur kauravon mein koi nahi tha. Isi khoobi ke karan unhe daanveer karn ke naam se bhi jaana jata tha. Ve kabhi kisi yaachak ko khali haath nahi jaane dete the aur ye hi unki mrityu ka karn bhi bana.

Bhagan krishan ne bhi karn ko sabse bada daani maana hai. Arjun ko karn ki prashansha pasand nahi thi, isi karn se unhone ek baar krishan se pucha ki sab karan ki itni prashansha kyu karte hai.

Krishan ne do parvaton ko soone me badal diya aur kaha ki is soone ko gaon vaalon me baant do. Arjun ne saare gaon vaalon ko bulaya aur parvat kaat kaat kar dene lage aur kuch samay baad thak kar baith gaye.

Tab krishan ne karn ko bulaya aur soone ko baantne ke liye kaha to karn ne bina kuch soche samjhe gaav vaalon ko keh diya ke ye saara soona gaon vaalon ka hai aur ve ise aapas me baant le. Tab krishan ne samjhaya ke karn daan karne se pehle apne hitt ke baare me nahi sochte.Isi baat ke karan unhe sabse bada daanveer kaha jata hai.

Apni daanveerta ka asli parichay unhone apna kavach aur kundal daan kate vaqt diya. Karn jab surya ki upasna kar rahe the tab indra bhes badal kar bhrama ke roop me aaye aur karn se unke kavach aur kundal ki maang ki.

Surya ne karn ko kavach aur kundal dene se mana kiya tha par karn kisi ko nirash nahi karte the isliye unhone apne kavach aur kundal ka daan kar diya. Karn ye jaante the ki yah daan unki mrityu ka karan ban sakta hai, tab bhi apne hitt ke baare me bina soche daan kar diya, aur ek bar fir ye saabit kar diya ke unse bada daanveer aur koi nahi hai.

नम्रता सिंह

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

4 weeks ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

4 weeks ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

1 month ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago