Health

Isha yoga ka 3 din ka course kar dega apka pura jivan parivartit

Yogabhyas karne se to jivan me parivartan hota hi hai. Isse na sirf apka man shant rehta hai, balki tan ko bhi bahut kuchh sahayata milti jati hai . Tan shant rehne se jyada jaruri hai man ka shant hona .

Jab tak bhitari shanti nahin milegi tab tak hum apni urjo ko sahi prakae se istemalnahi kar sakte. Aajkal ke samay me sabhi shanti pane ke lie na jane kitne hi bahari roop se prayas karte rehte hai par kabhi apne antarik man ko nahi tatolte . Agar aoni antar atama ko hi shant kar lia jate jo yeh sab bahari aadambar ki jarurt hi nahi padegi.

 

 

Agar apko param sukh or shanti ki anubhuti karni hai to apka antarik man shant hona bahut jyada jaruri hai. Iske lie isha yoga ka programme ek esa madhyama hai jisse hum vyaktigat vikas ke raste me aane wali har badha ko door kar sakate hai.is isha yoga programme ke jariye aap antarik vigyan se aap apni manchahi manjil pa sakte hai. Apne aap ko rupantarit kar safalta aasani se pa sakte hai. Isha yoga ka programme 3 se 7 din ka hota hai jisme aantaraik vigyan ke dwara Humare sharir ki sabhi pranalio ko shudh kia jata hai va santulit kiya jata hai. Jisse vikas ki raho me utpann ho rahi sari badhaye door ho jati hai. Chahe aapka vyaktigat vikas ho ya vyavasik vikas is program ko karne ke bad apki antarik shaktiyo ka vikas hota hai jo ek uchch sthal pane ke lie bahut jaruri hai.

 

Tanav se bhare hue is mauhaol me agar aap tanav mukt hona cahahte hai to yah apke lie bahut hi karagar sabit ho sakta hai. Is program me mukhya roop se do chije shamil hai dhyan or diksha agar dono ko sadharan jivan me har roj prayog kiya jaye to yah bahut hi labhdayak sidh hui hai .

 

Motapa , rid ki haddi ka dard, dama allergy jaise kai rog door bahaga deta hai. Pure sharir me chusti or sfurti bhar deta hai.
Itna hi nahi bhavana ko santun kar or man me spashtata bhar deta hai. Pure dun bhar chusti or sfurti bani rehti hai.usse aaram karne ki , bahut neend lene ki jarurat bhi kam ho jati hai.
Agar aap is yog karyakam me bhag le rahe hai to apki sirf antarik smajh hi nai badti balki js daud bhag bhare jeevan me. Kary karne ki shamta bhi bad jati hai. Agar apke desh ya shehar me yah karyakam nahi ho rha hai to aap iska labh online bhi le sakte hai . Isha online program ke jariye.

 

Jasvinder Kaur Reen

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

2 months ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

2 months ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

3 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago