Hindu dharam me kaye aisi paramparaye or prathaye hai jo sadiyo se chali aa rahi hai. Hum yah to nahi jante ki inka nirman kisne or kab kiya tha parantu yah jarur jante hai hai ki inmein se kuch prataye aisi bhi hai jo nishchit ho purv jamane me purv kal me nahi hoti hongi.
Kuch aisi prathaye bhi hai jo insaan ke manav hone par ungali uthati hai. Dharam ke naam par kya amanviy krity ko anjam dena sahi hai?. Prathaye or paramparaye to hume apas me jode rakhne ke liye orr hume sahi rah dikhane ke liye hoti hai.
Na ki humse koi galat kritya karwane ke liye. Hum pidi dar pidi kuch aisi paramparayen aage bada rahe hai jisse ki humare dhram ko kshatii pahuch rahi hai. Aaj kuch aisi hi ku pratahao ke baare mein hum janenge jisse puri tarah band kar dena hi humare, humare samaj or is sansar ke hitt me hoga
Kuch agyan log in prathaao ki aad lekar apni manmani karte hai or iska pushtikaran karne ke liye vedon ki ulahna dete hai lekin kisi bhi dharam ,shashtriya vedon me koye bhi aisi baat nahi likhi hai jo kisi ko bhi hani pahuchaye yaa usse samaaj me nakaratmakta failaaye.
Kuch aisi hi kuprathao ke bare me yaha diya jaa raha hai jise jald se jald band kar dena chahiye.
Dahej pratha
Is pratha me ladki ke viavah ke dauran uske mata pita ko var paksh ko anmol tohfe, dhan jamin jayadad jaisi chije deni hoti hai. Var paksh apne bete ke liye molbhav karte hai. Or agar vadhu paksh ki
Aarthik paristithi theek na bhi ho to bhi unhe yah sab dena padta hai.
Agar wah yah dene me asmarth hai to unki kanya ka vivah ya to bahut deri se hota hai ya fir wah kuvari reh jati hai. Chahe madhyam vargiy log ho ya uchch vargiy sabhi is pratha ka palan karte aa rahe hai jo ki galat hai. Jo maa baap apni beti ko dahej nahi de pate use sasural me dahej ke liye pratadit kiya jata hai.
Isi wajah se kitni hi navvihahitaon ne aathatya kar li, kai gharelu hinsa ki shikar ho gai. Dahej dene ke dar se kaye maa baap kanya bhrun hatya jaise ghor pap ko bhi anjam de dete hai.
Bali pratha
Janvaro ki bali dene ki pratah bhi ek kuprathao me shamil hai. Jab bhi kisi ke ghar me koi shubh prasang hota hai ya koe manta rakhi jati hai ya kisi ke ghar beta paida hota hai to wah bhagwan ko koi bhi pashuoon ki bali chadate hai. Shastro ke gyan ke anusar agar dekha jaye to kisi bhi shastra me aisa nahi likha gaya hai ki aap masoom orr ashaya janvaro ki bali chadaye.
Jati bhedbhav
Ishwar ne jab insan ki sanrachna ki thi to unhone koe bhedbhav nahi kiya tha. Yah hum insan hi hai jo is dharti par aane ke baad ek dusre se bhedbhav karte hai.
Chahe ye varn ke adhar par ho ta ja jati ke adhar par bhedbhav karna bahut galat hai. Iske liye kaye samvedhanik pravadhan bhi hai lekin aaj bhi logo ke man se jatigat bhedbhav nahi ja paya hai . Wah unchi jati or nichi jati me fark samjhate hai. Yah kuprataha band kar dena hi humare smaaj ke liye kalyanakari saabit hoga.
Bal vivah
Uchit umar se pehle shadi kara dena bal vivah hota hai. Kaanoon me yah ek dandaniy apradh hai parantu aaj bhi kaye maa baap aise hai jo apni beti ka vivah 18 varsh ke pehle hi kara dete hai. Jiske wajah se use aane wali jindagi me kathinayio ka samna karna padta hai.
Jaise ki gharelu hinsa , swasth par prabhav avam aadi. Sahi samay par uchit siksha dene ke bad hi ladki ka vivah kiya jana chahiye jisse use apne aane wale jeevan me pareshaniyo ka saamna na karna pade.
Leave a Reply