Agar apke din ki shuruwat ek aise pey se ho jo swadisht bhi ho aur apki sehat ko nuksan bhi na pauchaye. Haan, aap sahi soch rahe hai yah baat ho rahi hai green tea (hari chai) ki jo apko din bhar tarotaja rakhti hai or aapke sharir ko kai rogo se bhi bachati hai. Chahe motapa ho ya madhumeh ya cancer ye sabhi rogo k rokne ki shamta hai iss chai me
Lekin iske pine se apko pura fayda tabhi hoga jab aap esw sahi tarike se bnaye or sahi matra me le. Kehte hai na”ati sarvattra varjayte” kisi bhi chij ki adhik matra me sevan hani karak hota hai.to aap iska istemaal ek nirdharit matra ne hi kare. Is article me aapko green tea banane ki vidhi batai ja ri hai. Ek green tea tea bag se kaise banai jaye or sadharan green tea ki pattiyo se kaise?
Tea bag dwara green tea banane ke liye sabse pehle ek bartan mein ek cup paani le aur aise garam hone k lie rakh de. Jab usme ubaal aane lag jaye to ise cup me dal le. Phir usmein tea bag daal de. Dhyaan rakhe ki ek ya 2 min k liye usi mein rehne de warna uska swad kadwa aayega. Ab isme swad anusar chini ya honey mila de apki green tea tyaar hai.
Sabse pehle ek bartan me ek cup pani dale or usme ek chammach chai ki oattiyo ko dal de. Ab isme ubaal aane de. Jab yeh achi tarike se ubal jaye to ise cup me chaan le. Ab isme swad anusarr chini ya honey mila le.
Green tea ko kabhi b subah uth te se ya khali pet nai lia jana chaiye.
Agar isme tulsi k patte dal denge to iska swad or b bad jyga or ye jyda swasthvardhak b hojygi.
Kabi bhi apni aaushadhi green tea k sath na le. Chahe to bad me green tea le skte hai.
Green tea bnate samay kbi b usme dudh nai dalna chaiye isse uski calorie bad jygi or uska labh utna nahi mil paayega.
Green tea me humesha chini ki jagah sheha ka upyog kre or faydemand hoga.
Jin logo ki tassir garam hai unko docto se salah lekar hi green tea ka sevan krna chaiye.
Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…
It is that time of the year when Hindus across India and the world are…
In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…
Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…
Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…
If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…