Yeh baat sach hai ki safed vastra anya gehre rango k vastron ki tulna mein kam garm hote hain kyuki gehre rang garmi ko awshoshit karte hain.Garmiyon mein safed ya halke rango k kapde anukool hote hain.
Ye garmi ko prativimbit karte hain tatha shareer ko shant avam thanda rakhte hain.Jabki kaale ya anya gehre rang ushma ko awshoshit karke garmi banaye rakhte hain.Garmi mein kapaas ya cotton k kapde pasine ko awshoshit karke hawa ka sanchalan banaye rakhte hain.
Isiliye hame garmiyon mein safed ya halke rangon k vastron ko pehne par aaram milta hai.Jitni jyada ushma awshoshit hogi utni jyada garmi badhegi aur garmi se shareer ka taapmaan badhega.
Isiliye halke rang suvidhajanak avam aaram dayak hote hain.Garmiyon mein gehre rang aankhon k liye bhi pratikool nahi hote.Gehre rang aankhon mein chubhte hain.Safed ek shant rang hai jo sauhadrarta ka prateek hai.Safed ya halke rang aakarshak hote hain inn dino.
Agar hawa ki gati kam hai too safed vastra sabse acchha vikalp hai kyuki yeh dhoop ko behtar tarike se prativimbit karta hai aur vikiran k prabhavon ko kam karta hai gehre rangon k vastron ki apeksha . Vastav mein yeh garmi nahi hai jo awshoshit hoti hai balki prakash hai.
Kaale rang ki vastu jaise T-shirt kaali dikhti hai kyuki yeh tarngon mein se sabhi safed tarang dairghya ko awshoshit kar leti hai aur kuch bhi nahi dikhayi deta.Jaise T-shirt surya se aa rahe sabhi prakash ko awshoshit karke maano saari urja ko gayab kar deti hai.
Par jab prakash awshoshit hota hai to gayab na ho kar k urja k anya shrotaon mein parivartit ho jata hai, aamtaur par garmi aur phir garmi T-shirt se utsargit hoti hai.Gehre rang ya kaala rang garmi isiliye utsargit karta hai kyuki yeh prakash ka awshoshak hai.To sanchhep mein iska arth yahi hai ki itne sare gun hone ki wajah se hi safed ya anya halke rang k vastron ko pehne ki salah di jati hai.
Safed vastra aapke garmi se garam shareer se utsargit garmi ko prativimbit karte hain jabki kaala rang ise awshoshit karta hai.
Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…
It is that time of the year when Hindus across India and the world are…
In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…
Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…
Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…
If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…