Most-Popular

Bindi pehne ke peeche ye hai vaigyanik karan

Bindi/kumkum shareer ke sajawat ka mukhya hissa hai jise maathe par lagaya jaata hai.Bindi ka hindu sanskriti mein bahut mahatva hai.

Hindu manyata ke anusaar,

Bhauhon ke beech shthit maathe ka ye sthaan mahatvapurn tantrika bindu hota hai jise chakra kehte hain.Chakra saat prakaar ke hote hain jinmein maathe ka sthaan chhathva hai.Ise aja chakra kaha jata hai tatha ye buddhimatta avam niyantran ka prateek hota hai.

Dhaarna hai ki bindi shareer ki urja ko barkaraar rakhti hai.Aja chakra ki sthiti ko dhyan mein rakkhe kyuki yahi wo jagah hai jahan bindi/kumkum ko sahi tareeke se lagaya jana chahiye.Iske Nimnalikhit vaigyanik karan ullekhaniya hain-

1.Ekagrata ka kendra

Yeh kaye tarikon se madad karti hai mann ko Ekagra banaye rakhne mein jaise shant rakhkar aur anidra ko door karke.Aisa maana jaata hai ki jab ye bindu jagrit ho jata hai to insaan aisi duniya mein pooja  jaata hai jise sharirik aankhon se dekhna sambhav nahi hai. 

2.Sir dard se rahat

 Acupressure k siddhanton ke anusaar ye bindu sir dard se turant rahat paane ki kunji hai.Iska karan yeh hai ki ismein tantrikaon aur rakt vaahikaon ka abhisaran hota hai jo iss bindu se turant shant ho jate hain.

3.Anidra door karti hai

 Aap us bindu par jahan bindi lagate hain,na keval aapke mann ko shant karti hai balki aapke chehre ,gardan,shareer ki upari mansapeshiyon ko aaram deti jai jisse anidra ko door karne mein sahayata milti hai.

Ayurved ke anusaar anidra ke sabse samanya karaano mein se mansik tanav,thakaan aur ati kriyasheel mann ek hai.Anidra se rahat paane ke liye dainik aadhar par kuchh second ke liye is bindu ko dawayein. 

4.Aankhon ki maanspeshiyon ke liye accha

 Maathe ka kendra bindu seedhe spectro clear tantrika se juda hota hai(tantrika jismein tantrikaon k fiber hote hain jo aankhon aur tvacha ki maanspeshiyon ko khilati hain) Yeh tantrika un sabhi maanspeshiyon se judi huye hai jo aapki aankhon ke charo orr ghoomti hain jisse unhe aasani se alag alag dishaon mein dekhne mein madad milti hai.Yeh maanspeshiyan aapki aankhon ke aakaar ko badalne ke liye mahatvapurn hain taaki aap dono cheezon ko(paas aur door) adhik spasht roop se dekh sakein.

5.Svasth maanspeshiyan avam chehra

 Iss bindu ko uttezit karne ke sabse aaschrayjanak laabhon mein se ek yeh hai ki yeh chehre ki maanspeshiyon ko uttezit karke sabhi maanspeshiyon ko rakt pravah ke liye uttezit karti hai.

Yeh kriya maanspeshiyon ki kathorata ko banaye rakhne mein madad karti hai avam tvacha ko aur adhik svasth aur Jhurriyon se adhik samay tak mukt rakhti hai. 

Juhi Singh

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

1 month ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

1 month ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

2 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago