Most-Popular

Balon me juu kyu pad jati hai

Juu ek prakar ka parjivi hai jo dusro par apne khane ke lie nirbhar karta hai or dusre ke sharir me hi panapta hai. Yeh paida hota hi use parjivi kaha jata hai.  Aamtaur par yah sir me paai jati hai parantu yah jan angon me bhi ho sakti hai.

Rango ke bhed par dekha jaye to yah do prakar ko hoti hai. Ek safed or kali. Jo kali hoti hai use juu kaha jata hai or jo safed hoti hai use chilua kaha jata hai. Chilua or juu dono me bus ek sadharan sa antar yah hai ki jo chilua hota hai wah sharur me panapta hai . Or jo juu hoti hai wah sirf sir ya balo me payi jati hai. Dono ka ekmatra yahi lakshy hai ki wah sharir ka khoon piye.

Yah humare balo e rehkar humari sir ki chamdi ko katti hai or fir khoon chusti hai. Juye ud ya kood nahi sakti parantu yah bahut teji se chalti hai isi karanvash ise pakad pana
Mushkil ho jata hai. Aamtor par yahi kisi bhi uamr ke vyakti ko ho sakti hai. Par dekha gaya hai ki americi or afriki logo me yah kam hoti hai. Iska karan hai unke balo ka aakar.
Juye aone ande jise aam bhasha me likh kaha jata hai vah sir me chod deti hai. Jisme se do ya teen din vad ansankh juye nikalti hai. Wah apne ando ko surakhshit rakhne ke lie gardan ke niche ya kano ke piche rakhti hai or ek khas prakar ke gond se chipka deti hai. Jisse pani ya brush se dhone se wah nahi nikalti . Inhe ek ek karke hatho se hi niakalna padta hai.

Juu hone ke karan :

Aamtor par sharir me utpann hue pasine se , balo ki gandagi ke karan utpann hoti hai. Agar balo ki dekhbhal sahi tarike se na ki jaye ya uski saf safai me thodi kami ki jaye to yah panap sakti hai. Inhein gandagi bahut pasand hoti hai to jahaan gandagi hoti hai wahan yah hoti hai.
Esa vyakti jiske sir me pehle se ho uske sampark me aane se bhi juye pad sakti hai.
1.Jaise kisi ka scarf hat ha kanghi istemal ki jaye to.

2.Uske sath ek hi bistar ka prayog agar kiya jaye to
3.Uske ekdam nikat ya sir karib rakha jaye to
Juye nikalne ke lie yu ton bajar me bahut sare utpad uplabhdah hai . Lekin inme kai ese chemicals hotw hai jo humari ankho par bura asar karte hai. Dekhrekh se jyada savdhani sehaj hoti hai islie yah khas taur par dhyan rakha jaye ki apke balo me bilkul bhi gandagi na ho ya aap kisi ese vyakati ke sampark me na aaye jiske sir me juye ho.
Fir bhi agar kisi karanvash apke sir me juye panap jati hai toTo uska upay gharelu tarike se kiya jana chahiye. Chemicals ka kam se kam istemal kiya jana. Chahiye.

Ju marne ke lie log nakhuno ka prayog karte hai jo ki bahut khatarnak sabit ho sakta hai. Unme hone wala zehar apke sharir me pahuch jaye to jalodar namak rog ho jata hai. Jisse apke pet me pani badta chala jata hai. Uska ilaj aaj tak koi doctor dundh nahi paya hai. Islie samjhdari isi me hai ki aap in galtiyon se bache rahe.

Jasvinder Kaur Reen

View Comments

  • Muje underarms me Junhe jesa ho GYA hai.. Me kya kru...?
    Bahut Dino see vahape khujan ho rhi thi... But muje laga wax karvane se huva hai.. But jab mene dekha to bahut sari likh thi.. Or skin k andar juhne jesa feel ho rha hai.. Mene nikalne ki kosis ki to vo felne lagi..
    Me bhaut Gabhra gyi hu... Plz help me

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

3 months ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

3 months ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

3 months ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

2 years ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago