Aajkal ke daur me baal jhadna ek aam baat ho gayi hai. Log apni life me itne busy hai ki ve khud par dhyan hi nahi de paate. Kaam ki tension, aaram na milna, thik se khana na khana, time par na soone aadi baal jhadne ke kaaran bann sakte hai. In kaarano me se koi na koi kaaran hamari zindagi me bhi maujood hai, jo abhi nahi to baad me baal jhadne ka kaaran bann sakta hai.
Shodhkartaaon ki maane to aadmi aurton ke mukable zyada jaldi ganjepan ka shikar ho jate hai. Iska ek kaaram to genetic ho sakta hai. Par iska mukhya kaaram sharir ki banavat hai. Auratoon mein baalon ke liye 2 chromosomes hote hai, whi aadmiyon me ye sirf ek hi hota hai. Isliye auratoon me ek chromosome damage hone ke k baad bhi ek chromosome baalon ko sar pr banaye rakhta hai, wahi dusri orr agar aadmiyon mein ye chromosome damage ho jaye to ve ganjepan ka shikar ho jate hai.
Aajkal ki bhaagdaud bhari zindagi me harek vyakti tanaav se guzrta hai. Tanaav ke kaaran hamare sharir ki energy bahar nikal jati hai, jisse sharir ko poori tarah se energy nahi mil paati. Ye lambe samay tak rehne se baal jhadne ka kaaran bann jata hai.
Yah ek aisa kaaran hai jiska zyadatar koi upaay nahi kiya ja sakta. Agar aapke parivar me aapke poorvajo ko bhi baal jhadne ki problem thi, to vo aapko bhi ho sakti hai. Heredity se hone wali problem ko jaldi thik karna thoda mushkil hota hai, aur inka ilaaj bhi lamba chalta hai.
Aajkal fashion aur styling ka bohot chalan hai. Alag alag kapdo ke saath alag alag hair styles bhi kiye jaate hai. Hair styling ke liye alag alag tarike ke tool ka istemaal kiya jata hai. Inke lagataar istemaal se baalon ki jadein kamzor ho jati hai, aur ant me baalon ke jhadne ka kaaran bann jati hai.
Ek samay ke baad har kisi ki sharir me hormone me badlaav aata hai. Kabhi kabhi ye badlaav kisi cheez ke side effects ke wajah se bhi ho sakta hai. In hormonal changes ka asar baalon par bhi padta hai. Sharir me kamzori aane ke saath saath baal bhi kamzor ho jate hai aur jhadne lagte hai.
poor diet yaani adhura poshan. Bhaagdaud bhari zindagi me log khane par zyada dhyan nahi de paate. Saath hi baahar ke khane se vo poshan nhi mil paata jiski hamare sharir ko zarurat hoti hai. Sharir ko poori tarah pooshan na milne ki wajah se baal aur sharir dono kamzor aura lag alag beemariyon ka shikar ho jate hai, jisse baal jhadne ki bhi samasya aane lagti hai.
Chemotherapy vo treatment hai jisse cancer ka upchaar kiya jata hai. Iss upchar me ya to sar pe kisi choti si jagah ke baal jhad jaate hai ya poorn ganjapan aa jata hai.
Pregnancy ke dauraan ek aurat ke sharir me kayi tarah ke hormonal changes aate hai, jo baal jhadne ka kaaran bann sakte hai.
Hamare sharir ko kayi tarah ke vitamins aur minerals ki zarurat hoti hai. Unhi me se ek hai Vitamin B. Vitamin B ki kami kayi tarah ki problems ka kaaran bann sakti hai, jinme se ek hai baalon ka jhadna.
Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…
It is that time of the year when Hindus across India and the world are…
In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…
Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…
Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…
If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…
View Comments
actually main trimming k alaawa kuch nhi krti aur ab to ek hi shampoo use krti hu aur na main color karaati hu. aur to aur main to dryers ya strightners bhi use nhi krti phir kyu jhad rhe mere baal. Even mere eyebrow k baal bhi nikl rhe h......kanghi krti hu to bhi frsh pr duniya bhar k baal dikhte h
actually main trimming k alaawa kuch nhi krti aur ab to ek hi shampoo use krti hu aur na main color karaati hu. aur to aur main to dryers ya strightners bhi use nhi krti phir kyu jhad rhe mere baal. Even mere eyebrow k baal bhi nikl rhe h......kanghi krti hu to bhi frsh pr duniya bhar k
baal dikhte h...PLS HELP ME