Most-Popular

10 Baatein jo Hume sikh dharam se seekhni chaiye

“Vaishnav jan tene kahiye jee peer prai jaan re” yeh ek bht hi prasidh bhajan ki kuch panktiya hai. Sikh dharam ki neev ko yeh panktiya satik rup se darshati hai. Is dharam ki isthapna hi isliye hui thi ki dusro ki pida samapt kardi jaye. Aur agar hum ithihas ki our rukh kar k dekhnge ki sikh dharam guruo ne kese balidan dekar dusro ki raksha ki. Hathiyar uthaye b hai to nihathe or kamjor logo par nahi balki uun jalimo par jo insaaniyat bhul chuke they.
Aaj hum apko sikh dharam ki aesi 10 baatein. Btane ja re hai jo nishchit hi sansar k lie prerna hai .

•  LANGAR   


Sabhi logo k lie chahe phir vo koi bhi dharam k ho oonch  ho ya nichli jaati k, ameer ho ya garib sabhi ko ek sath bethkar ek hi prakar ka praasad chakna hota hai.Gurudwara ka yeh langar ek esi jagah hai jaha sara bhedbhav khatam ho jata hai or hume sirf insaniyat hi najar aati hai. Yaha aaya koi vyakti kabhi b guru k dwar se khali nai jata. Gurudware k langar k dwaar 24 ghante khule rehte hai.

• SEVA  

 

Seva karna sikh dharam me ishwar ki aaradhna k saman mana gaya hai
Agar aap aaj kisi b gurudware me jakar dekhnge to ameer log aapko jhute bartan dhote najar aaynge. Joda ghar(jha jute chappal rakhe jate hai) wha apne hatho se unhe uthakar saaf krte hai ot ye nisvarth seva hai uss param pita waheguru ki bhakti karne ka ek tarika.

• BALIDAAN  

Balidaan ki agar bat ki jaaye to sikh dharam me apko aise unginat udharan mil jayenge jo balidaan ki ek nayi misaal dete hue dikhayi denge. Chahe phir veh Guru Arjun dev singh ji ho jo tapte hue tave par bethkar shahid ho gaye ya phr shri Guru gobind singh ji jinhone apne pita, apne charo bete, or apni maata ka balidaan dharam k raksha k liye de diya.

• KHAANA  

 

Inke khane me aapko ek sampurn aahar ki jhalak saaf dikhai degi. Jo poshtik hone k sath sath laziz b hote hain aur inke yaha ki lassi pure vishv me prasidh hain.

• ATAM RAKHSA  

Yeh apni aatam raksha k lie hamesha apne pass kripan rakhte hai. Yeh kripan kisi ko nuksaan pauchane k lie nahi balki swayam ki or nirbal logo ki raksha k lie hoti hai.shashta vidhya ka sampurn gyan hota hai

• GURBANI  

Shri guru Granth Sahib ji ek aisa granth hai jise 11ve guru ki upadhi di gai hai. Yeh apne aap me sabhi dharmo or dharam grantho ki baate samate hue hai. Jab bhi koi mushkil aati hai ya pareshani hoti hai to gurbani k smaran maatra se hi dur ho jati hai .

 • HANSMUKH SAVBHAAV  

 Sikh dharam k log hamesha se hasmukh swabhaav k hote hai.Chahe in par kitne bhi vipatti kyu na aajaye unka chehra humesha hansta hua hi dikhai deta hai. Ye bahut hi khushmijaz hote hai.

• KESH  

 

Sar par saji hui pagdi se ye dur se hi pehchaan me aajate hai. Kesh rakhne ka yahi pramukh karan hai ki ishwar ne jo sanrachna ki hai vo bahut khubsurat hai hum sannrachna ko chunoti nahi denge kyunki khubsurati bhaari veshbhusha se nahi balki antar man se hoti hai.

 •PEHNAAVA  

Inka pehnaava dusro se kafi alag hota. Mahilaao k  patiyala salwar or fulkaari ki hui kurti jiske sath ek bada sa dupatta hota hai. Unke pehnaave mein paramparik karigiri ki saaf jhalak dikhai deti hai yeh stylish k sath sath aaramdaayak bhi hote hai .

 •BHAICHAARA  

 

Unme aapsi prem bahut hota hai. Chahe kisi bhi warg k log ho wo unse aasani se ghul mil jaate hai

Jasvinder Kaur Reen

Recent Posts

Timeless Baby Boy Names Inspired by Lord Ram: A Guide to Meaningful Name Choices

Dussehra, the festival that celebrates the victory of good over evil, is deeply rooted in…

6 days ago

Divine Baby Girl Names Inspired by Goddess Durga

It is that time of the year when Hindus across India and the world are…

1 week ago

Baby Names Inspired by Mahatma Gandhi

In a small village in Gujarat, not too far away from Porbandar, lived a girl…

2 weeks ago

Short & Modern Indian Baby Boy Names with the Initial Letter S

Your name impacts every facet of your life. Hence, it becomes important that parents choose…

1 year ago

How to Grow Your Nails Faster & Longer? Try 6 Home Remedies

Nowadays, girls mostly prefer longer nails. But more often they break even before they grow…

4 years ago

Bhringraj Hair Oil: Here’s Everything You Need to Know About

If you want a luscious mane, try Bhringraj hair oil. This Ayurvedic herb is potent…

4 years ago